Showing posts with label Auwliya Karaam sms. Show all posts
Showing posts with label Auwliya Karaam sms. Show all posts

Monday, December 23, 2013

Huzoor Shaikh Ali Hajweri Rehmatullahi Ta'ala Alayhi Ka Silsala e Nasb;

Huzoor Shaikh Ali Hajweri Data Ganj Bakhsh Rehmatullahi Ta'ala Alayhi Ka Silsala e Nasb;
Aap Ka Silsala e Nasb Jisper Aap K Aksr Siwanah Nigaron Ne Itfaq Kiya Hai Ye Hai;
Hazrat Ali Hajweri
Bin Usman Rehmatullahi Ta'ala Alayhi
Bin
Saiyad Ali Rehmatullahi Ta'ala Alayhi
Bin
Abulrehman Rehmatullahi Ta'ala Alayhi
Bin
Shujah Rehmatullahi Ta'ala Alayhi
Bin
Abu Alhasan Asghar Rehmatullahi Ta'ala Alayhi
Bin
Zaid Rehmatullahi Ta'ala Alayhi
Bin
Hazrat Imam Hasan RaziALLAHU Ta'ala Anhu
Bin
Hazrat Ali RaziALLAHU Ta'ala Anhu Bin Abi Talib Istrah Aap Hashmi Saiyad Hain Aur Aapka Silsala e Nasb Aathwin Pusht Me Hazrat Ali Al-Murtaza RaziALLAHU Ta'ala Anhu Se Milta Hai.
(Kashf ul Mahjoob)
*Subhan ALLAH*

Hazrat Saiyyad Abu Al- Hasan Ali Bin Usman Hajveri Almaroof Data Ganj Bakhsh Rehmatullahi Ta'ala Alayhi

Hazrat Saiyyad Abu Al-Hasan Ali Bin Usman Hajveri Data Ganj Bakhsh Rehamatullahi Ta'ala Alayhi,
popularly known as Data Ganj Bakhsh (Bestower of Spiritual Treasures ) or in
common langauage;
simply Data Darbar Lahore, belonged to a
place called Hajwer in
the town of Ghazni,
Afghanistan.
He lived during the 5th century
AH (11th century AD),
and was well versed in all the Islamic sciences
such as Tafsir;
(exegesis) of the Holy Quran, Hadith;
(Traditions of the
Prophet MOHAMMAD Peace And Blessings Of ALLAH Be Upon Him), Fiqh;
(Muslim Law) and
dogmatic theology;
(Ilmu Kalam).

Al Hajweri's spiritual lineage traces back to
Hazrat Junaid
Baghdadi Rehmatullahi Ta'ala Alayhi, through the three intermediaries al-Husri,
an-Nasrabi and Shibli Rehmatullahi Ta'ala Alayhi the course of his
spiritual journey to ALLAH, he journeyed
physically to many
countries, often alone and with hardship.
These places included
Turkestan,
Transoxania, Iran, Iraq,
and Syria where he met innumerable Sufi
sheikhs, many of
whom he has
mentioned in his book "Kashf ul Mahjoob".
He came to Lahore in the later part of his life for the specific purpose of Tablegh
(preaching and
teaching) Islam,
converting large
numbers of people into Muslim Ummah. He passed away in Lahore
in 469 AH (1077 AD),
where his Muquam
currently stands, is visited by people of all
walks of life, from far and near.
Darbar Sharif Data Ganj Bakhsh Rehmatullahi Ta'ala Alayhi,: The mausoleum of the great mystic saint Abu
Hasan Ali Hajweri is situated near Bha'tee Gate, one of the gates
of the walled city of Lahore, Pakistan.

The Ghaznavi king Sultan
Zakiruddin Ibrahim built his mausoleum. Day
and night devotees
come in large numbers
to pay homage to the saint. On Thursdays,
groups of musicians
sing the mystic song
'Qawali' .
He was the proud
author of 'Kashaf ul Mahjoob', a beautiful
book on Islamic
mysticism.
*Subhan ALLAH*

Saturday, August 31, 2013

Shariat K Zariye Se Apne Aza E Badan Ko Pak Bana Aur

Shariat K Zariye Se
Apne Aza E Badan Ko
Pak Bana Aur Quran
Par Amal Kar k Apne
Qalb Ko Pak Kar*
"Subhan ALLAH"
(Hazrat Sultan Bahu
Rehmatullah Alayhi)

Monday, May 13, 2013

Hazrat KHWAJA GAREEB NAWAZ Rehmatullah Alayhi KI HAAYAT-E-TAYYABA:

Hazrat KHWAJA GAREEB NAWAZ Rehmatullah Alayhi KI
HAAYAT-E-TAYYABA:

1-Wiladat-14 Rajab Hijri-535
Sanjar,Isfahaan.

2-Ism e giraami Saiyyad Muinud
Deen Hasan Rehmatullah Alayhi.

3-Waalid-e-Giraami-Hazrat
Khwaja Gayaasud Deen Rehmatullah Alayhi.

4-Waalida-Hazrat Bibi Ummul
Wara Rehmatullah Alayha.

5-Waalid Sahab Ka Saaya Utha-
Hijri 544.

6-Shaikh Ibraheem Maj'bzub Rehmatullah Alayhi Se
Mulaqat Hijri-544.

7-Uloom-e-Zaahiri Ki Takmil-Ba-
Muqam Samarqand, Bukhara,
Hijri-544 se Hijri-550 tak.

8-Aap K Shohra-Aafaak Ustad-
Hazrat Moualana Hisaamud Deen
Or Hazrat Moulana Sharfud Deen.

9-Huzoor Gause Aazam Rehmatullah Alayhi Se Mulaqat-
Bagdaad Sharif Hijri-550.

10-Khwaja Usmaan Haaruni Rehmatullah Alayhi K
Mureed Bane-Hijri-552 Ba-Maqam
Haarun.

11-Shaikh Ziyaud Deen Abu Najib
Abdul Qadir Suharwardi Rehmatullah Alayhi Se
Mulaqat Hijri -555.

12-Bagdaad Se Hind Ki Taraf
Safar-Hijri-557 se 561 Tak.

13-Huzoor Daata Ganj Bakhsh Ali Bin Usman Hajvairi K Rozay
Per Chilla Kashi Hijri-561.

14-Peero Murshid K Sath
Haramain Sharifain Ka Tarikhi
Safar-Hijri -563.

15-Sar Zamine Sanjar Par
Tashrif Aawari-Hijri-580.

16-Huzoor Gause Aazam Rehmatullah Alayhi Se Dobara
Mulaqat-Hijri-580.

17-Hazrat Bhakhtiyar Kaki Rehmatullah Alayhi Ko Murid
Banaya-Hijri-582 Isfahaan.

18-Hazrat Bhakhtiyar Kaki Rehmatullah Alayhi K Sath
Harmain Sharifain Ki Haazri Or
Baargah-e-Risalat (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Se Wilaayat-e-
Hind Ka Milna-Hijri-585 Me.

19-Hazrat Khwaja Bhakhtiyar Kaki Rehmatullah Alayhi Ko
Khilafat Ata Ki-Hijri-585 me Ba-
Maqam-Samarkand.

20-Prithvi Raaj Ki Hukumat Me
Ajmer Shareef Me Aamad-Hijri-586 me.

21-Shahabud Deen Ghori Khwaja
Ki Khidmat Me-Hijri-588 Ba-
Maqam Gizni.

22-Shahabud Deen Ghori Aap K
Murid Bane-Hijri-589 me Ba-
Maqam Ajmer Shareef.

23-Taara Gadh (Ajmer Shareef) Par Raat
Ko Hamla-Hijri-598 me.

24-Delhi Me Tashrif Aawri-
Hijri-611 me.

25-Bibi Ummatullah Rehmatullah Alayha K Sath
Hazrat Gareeb Nawaz Rehmatullah Alayhi Ka Pehla Nikah-
Hijri-590 me.

26-Bibi Asmatullah Rehmatullah Alayha K Sath Hazrat Gareeb
Nawaz Rehmatullah Alayhi Ka Dusra Nikah-Hijri-620
me.

27-Aap Wisaal-6,RAJab, Peer K Din,
Hijri-633 me Ba-Maqam- Ajmer
Shareef Rajasthan.
*Subhan ALLAH*

Thursday, May 9, 2013

* Dua Qabool Kyon Nahi Hoti ? . * Hiqayat :

* Dua Qabool Kyon
Nahi
Hoti ?
.
* Hiqayat :
Hazrat Shafique Balkhi
(Rehmatullah
Ta'ala Alayhi)
Farmate Hain,
" Ek Roz Hazrat
Ibrahim Bin Adham (Rehmatullah Ta'ala Alayhi)
Basre K Bazaar Se
Guzar Rahe The,
To Logo Ne Aapki
Khidmat Me Haazir
Ho k Arz Ki,
"Huzoor !
Quran Me ALLAH
Ta'ala Ne Farmaya
Hai,
"K Tum Mujhse Dua
Maango Main Qabool
Karunga !"
Hum Ek Muddat Tak
Dua Maangte Rahe
Hain,
Magar Qabool Nahi
Hoti !
Iski Kia Wajah Hai?"
Hazrat Ibrahim Bin
Adham
(Rehmatullah Ta'ala Alayhi)
Ne Jawab Diya,
"Aye Logo !
Tumahre Dil 10
Chizon Se Murda Ho
gaye Hain!
Phir Tumahri Dua
Kaise
Qabool Hogi?
.
(1) Tumne ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala Ko
Pehchana,
Magar Uski Maarfat
Ka Haq Ada Na Kiya!
.
(2) Tumne Quran
Padha,
Magar Usper Amal
Nahi
Kiya!
.
(3) Tumne
Muhabbat-e- RASOOL (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ka
Daawa Kiya,
Magar Unki Sunnat
Per Amal Na Kiya!
.
(4) Tumne Adawat-e-
Shaitaan Ka Daawa
Kiya,
Magar Uski
Mukhalifat Na Ki!
.
(5) Tumne Jannat
Ko Chaha,
Magar Usme Dakhile
K Liye Amal Na
Kiye!
.
(6) Tumne
Jahannam Se Panah
Maangi,
Magar Khud Hi Apne
Nafs Ko Usme Daal
Diya!
.
(7) Tumne Maut Ko
Haq Jana,
Magar Us k Liye
Taiyyari Na
Ki!
.
(8) Tumne Bhaiyon
Ki Aib-Jui Ki,
Magar Apne Aib Na
Dekhe!
.
(9) Tumne ALLAH Rab ul Aalemeen Ki
Nematein Khayi,
Magar Uska Shukr
Ada Na Kiya!
.
10) Tumne Murdon
Ko
Dafan Kiya,
Magar Ibrat Haasil
Na
Ki.!
.
* To Kaise Hamari
Dua Qabool Hogi.???

Tuesday, May 7, 2013

ALLAH Walo Ki Baten Al-Quran: Sun Lo Beshak Auwliya ALLAH Per Na Koi Khof Hai Aur Na Wo Ranjeda O Ghamgen HonGe.

Al-Quran:
Sun Lo Beshak Auwliya ALLAH Per
Na Koi Khof Hai Aur
Na Wo Ranjeda O Ghamgen HonGe.
(Surah Yunas, Ayat#62)
>
ALLAH WALO KI BATEN

ALLAH Tabarak Wa'Ta'la K Wali Hazrat Junaid Bagdadi
Rehmatullah Alayhi Ko
Kisi Ne Ek Din Tohfe Me
Ek Parinda Diya. Aap Ne
Us Parinde Ko Apne
Paas Rakh Liya Aur Ek
Pinjare Me Qaid Kar
Diya,
Aap Jab Bhi Apni Ibadat
Me Mashgul Rahte Wo
Aap Ko Har Waqt Dekha
Karta.
Aap Hazrat
Junaid
Bagdadi Rehmatullah Alayhi Jab Bhi Khana
Khate To Har Waqt Us
Parinde Ko Bhi Dane
Dala Karte.
Ek Din Wo Parinda Aap
Junaid
Bagdadi Rehmatullah Alayhi Se Kahne Laga
Ay Junaid Rehmatullah Alayhi Tum Bahir
Ghumne Jate Ho Ya Kabhi
Apne Dosto Se Milne
Jate Ho Unki Ziyarat Ko
Jate Ho Theek Usi Tarha
Mera Bhi Dil Karta Hai K
Main Bhi Apne Aziz Bhai
Behno Se Milne Jaun Aur
Unki Khair Khabar Loon.
Aap Hazrat Junaid
Bagdadi Rehmatullah Alayhi Ne Us Parinde Ki
Baten Sunkar Use Aazad
Kar Diya,
Aur Farmaya K Jaa Aaj
Se Tu Aazad Hai,
Jab Parinda Jane Laga
To Kehne Laga Ay
Junaid Pata Hai Jab Bhi
Koi Parinda ALLAH
TA'ALA k Zikar Se
Ghafil Ho Jata Hai Tab Wo
Qaid Ho Jata Hai.
Main Bhi Ek Din ALLAH
TA'ALA k Zikar Se Ghafil
Ho Gaya Tha Tab Qaid
Ho Gaya,
Phir Maine
Touba Ki To Aazad Ho
Gaya.
Lekin Haye Afsos Usi Tarah Un Insano Per
jo ALLAH TA'ALA K
Zikar Se Ghafil Hai Wo Bhi
Duniyawi Qaid Me Qaid
Hai Aur Jo Her Waqt
ALLAH TA'ALA k Zikar
Me Mashgul Hai Wo
Aazad Hai.
Phir Aap Jab Bhi Khana
Khane Baithty To
Aap K Sath
Dastrkhwan Per Wo
Parinda Bhi Dane Khane
Aata Aur Kha Kar Chala
Jata. Subhan ALLAH ,
Phir Jab Aap Hazrat
Junaid Bagdadi
Rehmatullah Alayhi K
Wisal Ka Waqt Qareeb
Aaya To Wo Parinda
Uska Bhi Entekal Ho
Gaya.!

*Nigah-e-Wali Me Yeh
Taseer Dekhi,

*Badalti
Hazaron Ki Taqdeer
Dekhi.

*ALLAH ALLAH karne se ALLAH na mile,,,

*ALLAH wale hain jo ALLAH se mila dete hain,,,

*MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam) ki ghulaami Deen e Haq ki shart e awal hai,,,

*Ho agr isme kuch khaami to sab kucha na-mukamal hai.!!!

Thursday, June 21, 2012

Makano k bananay me umar khatam kar raha hai

Makano k
bananay me umar khatam kar
raha hai, basenge dosre or
hisaab de ga tu.! (Shaikh Abdul
Qadir Jilani
Rehmatullah Alayhi)

Share/Bookmark