Thursday, May 9, 2013

* Dua Qabool Kyon Nahi Hoti ? . * Hiqayat :

* Dua Qabool Kyon
Nahi
Hoti ?
.
* Hiqayat :
Hazrat Shafique Balkhi
(Rehmatullah
Ta'ala Alayhi)
Farmate Hain,
" Ek Roz Hazrat
Ibrahim Bin Adham (Rehmatullah Ta'ala Alayhi)
Basre K Bazaar Se
Guzar Rahe The,
To Logo Ne Aapki
Khidmat Me Haazir
Ho k Arz Ki,
"Huzoor !
Quran Me ALLAH
Ta'ala Ne Farmaya
Hai,
"K Tum Mujhse Dua
Maango Main Qabool
Karunga !"
Hum Ek Muddat Tak
Dua Maangte Rahe
Hain,
Magar Qabool Nahi
Hoti !
Iski Kia Wajah Hai?"
Hazrat Ibrahim Bin
Adham
(Rehmatullah Ta'ala Alayhi)
Ne Jawab Diya,
"Aye Logo !
Tumahre Dil 10
Chizon Se Murda Ho
gaye Hain!
Phir Tumahri Dua
Kaise
Qabool Hogi?
.
(1) Tumne ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala Ko
Pehchana,
Magar Uski Maarfat
Ka Haq Ada Na Kiya!
.
(2) Tumne Quran
Padha,
Magar Usper Amal
Nahi
Kiya!
.
(3) Tumne
Muhabbat-e- RASOOL (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ka
Daawa Kiya,
Magar Unki Sunnat
Per Amal Na Kiya!
.
(4) Tumne Adawat-e-
Shaitaan Ka Daawa
Kiya,
Magar Uski
Mukhalifat Na Ki!
.
(5) Tumne Jannat
Ko Chaha,
Magar Usme Dakhile
K Liye Amal Na
Kiye!
.
(6) Tumne
Jahannam Se Panah
Maangi,
Magar Khud Hi Apne
Nafs Ko Usme Daal
Diya!
.
(7) Tumne Maut Ko
Haq Jana,
Magar Us k Liye
Taiyyari Na
Ki!
.
(8) Tumne Bhaiyon
Ki Aib-Jui Ki,
Magar Apne Aib Na
Dekhe!
.
(9) Tumne ALLAH Rab ul Aalemeen Ki
Nematein Khayi,
Magar Uska Shukr
Ada Na Kiya!
.
10) Tumne Murdon
Ko
Dafan Kiya,
Magar Ibrat Haasil
Na
Ki.!
.
* To Kaise Hamari
Dua Qabool Hogi.???

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark