Wednesday, May 8, 2013

Mangton ko sultan banaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne

Mangton ko sultan
banaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne,

Jab apna Darbar
lagaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne,

Maal-o-zar ki bat nahin ye sab karam ki
batain hain,

Jis ko chaha dar pe
bulaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne,

Jis per apna rang
charhaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne,

"Ghuos e Azam" "Data" "Fareed" or "Khuwaja"... (Rehmatullah Alayhi)
banaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne,

Baara rabi ul awal k
din Noor-e-KHUDA ki
kirno se Ammi AAMNA (RaziALLAH Ta'ala Anha) Aap ka gher
chamkaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne,

Jitna kharch main karta
jaon utna barhta jaye
hai,

Baksh diya aisa
sarmaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne,

Unka zikar karte
karte neend jab aai
mujhe,

Mujh ko apna Jalwa
dikhaya mere Aaqa MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ne.
{ASSALATU
WASSALAMO ALAYKA YA
SAIYYADI RASOOL-
ALLAH,

WA'ALA AALEKA
WA'ASHABIKA YA
SAIYYADI
MOHAMMADURASOOL-ALLAH}
♥Subhan ALLAH♥

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark