Showing posts with label Urdu Shairy. Show all posts
Showing posts with label Urdu Shairy. Show all posts

Sunday, September 29, 2013

IQBAL Sach Kahoon to Mujhe Ye Unwan Bura Lagta Hai

"IQBAL"
Sach Kahoon to Mujhe
Ye Unwan Bura Lagta
Hai,

Zulm Sehta Huwa Insan
Bura Lagta Hai,

Kis Qadar Ho Gayi
Masroof Ye Duniya
Apni,

Ek Din Thehre To
Mehman Bura Lagta
Hai,

UnKi Khidmat To Bohat
Door,
Haal Ye Hai Yahan,

Boorhay Maa Baap Ka
Farman Bura Lagta
Hai,

Mere "ALLAH" Meri
Naslon Ko Zillat Se
Nikaal,

Itni Zillat Me
"MUSALMAAN" Bura
Lagta Hai.

Tuesday, November 27, 2012

Fatwa hai Shaikh ka, Ye Zamana Qalam ka hai

Fatwa hai
Shaikh ka,
Ye Zamana Qalam
ka hai,
Dunia me ab rahi Nahi
Talwaar Kaargr,
Lekin Janab
e Shaikh Ko Maloom Nahi
Kia?
Masjid Me ab Ye Wa'z
hai Be-sood o Be-asar,
Tegh
o Tufang Dast e MusalmaAn me
Hai Kaha'n?
Ho bhi to Dil Hain
Mot ki Lazzat se Be-
khabar.!!!

Wednesday, August 22, 2012

Aisa Nhi K Nafs Ka Shetaan Mar Gaya Shetaan To Hy Zinda, Haa’n Insaan Mar Gaya

Aisa Nhi K Nafs Ka Shetaan Mar
Gaya
Shetaan To Hy Zinda, Haa’n
Insaan Mar Gaya ,
Sajdon Men Sar Jhukany Ki
Fursat Nahi Rahi ,
Momin Ki Rooh Men Basa
Musalman Mar Gaya ,
Masjid To Pakki Ban Gai Or
Shaan’daar Bhi ,
Kacchi Hen “RABB” Se
Chahaten Aur Emaan Mar Gaya ,
Baatil Ko Jhoot Kehny Ki Taqat
Nahi Rahi
Ho Haq Sar Buland Ye Armaan
Mar
Gaya Ay Insaan Herat Hy Teri
Qismat Pe!
Kis Tarah Peda Howa Tha Khush
Numa
Aur Viraan Mar Gaya.

Wednesday, August 15, 2012

Nazar ka chain dil ka suroor hote hain

Nazar ka chain dil ka suroor
hote hain,
kuch aise log jahan me zaroor
hote hain,
Sada chamakta rahe unki EID
ka tehwaar,
Qareeb reh k bhi hum se jo
door hote hain.

Thursday, August 9, 2012

Ye Phool Ye Khushbu Ye Nagar Zehn Me Rakhna, Gar Sath Chaley Ho To Safar Zehn Me Rakhna_!

Ye Phool Ye Khushbu Ye Nagar
Zehn Me Rakhna,
Gar Sath Chaley Ho To Safar
Zehn Me Rakhna_!
Jee Bhar K Falak Bos Emaraat
Me Thehro,
Es Shehr Me Mera bhi Hai Ghar
Zehn Me Rakhna_!
Tum Mom Ka Ek Mehl Bananey
To Lage Ho,
Suraj b Nikalta Hai Edhar Zehn
Me Rakhna_!
Her Rang Bhari Cheez Ka Anjam
Yehi Hai,
Titli Ka Ye Toota Hua
Per Zehn Me Rakhna_!
Kai Rang Bdalta Hai Bharosa Nahi
Us Ka,
Filhal Wo Mukhlis Hai Magar
Zehn Me Rakhna.

Wednesday, July 18, 2012

Kisi bhi dukh per malaal karna.. Na usko aya na mujhko aya

Kisi bhi dukh
per malaal karna..

Na usko
aya na mujhko aya,

Wafaon
ko la-zawaal karna..

Na usko
aya na mujhko aya,

Jo
faaslay thy unhen
mitana,

Agarchay dono hi
chahte hain,

Magar ta'aluq
bahaal karna..

Na usko aya
na mujhko aya,

Dua k roshan
chiraagh apni hatheliyon per
jalaye ham ne,

KHUDA se
lekin sawal karna..

Na usko
aya na mujhko aya.

Tuesday, July 10, 2012

Aik Muddat Se Tujhe Vird Me Rakha Jis ne

Aik Muddat Se
Tujhe Vird Me Rakha Jis ne,
Wo
Muhabbat Me Qalander Bhi To Ho
Sakta Hai,
Tere Koochy Me Jo
Aya Hai Ghulamon Ki Trah,
Wo
Apni Basti Ka Sikander Bhi To Ho
Sakta Hai,
Silsilawaar Agar Ashk
Giraaey Jaen,
Ye Jo Sehra Hai
Samandr Bhi To Ho Sakta Hai,
Kab
Tlak Tere Khayalon K Sahary Py
Jiyen,
Dil Teri Yaad Se Munkar
Bhi To Ho Sakta Hai.

Saturday, June 30, 2012

Be-naam musafir hoon be-naam safar mera, Kis rah nikal jaun kuch keh nahi sakta

Be-naam
musafir hoon be-naam
safar mera,

Kis rah nikal
jaun kuch keh nahi
sakta,

Be-naam meri manzil
be-naam thikana hai,

Kis dar
py main ruk jaun kuch keh
nahi sakta,

Is paar to roshan
hai sara mera rasta,

Us paar
andhera ho kuch keh nahi
sakta,

Tinkay ki tarah main
bhi.. beh jaun samander
me,

Mil jae ga kinara kuch
keh nahi sakta,

Mil jae gi
tabeer mere khuwabon ki
aik din,

Ya khuwaab bikhar
jaen kuch keh nahi sakta.

Saturday, June 16, 2012

kia likhon Socha dil ka haal likhon, Par jo dil me rehta hai usey haal-e- dil kia likhon?

kia likhon
Socha
dil ka haal likhon,
Par
jo dil me rehta hai usey haal-e-
dil
kia likhon?
Socha
pyar ki batein likhon,
Par
jo khud pyar hai usey pyar k
baray me kia likhon?
Socha
zindagi ki kahani likhon,
Par
jo khud zindagi hai usey afsana-
e-zindagi kia likhon.

Ye jo shafaf sa ik aks us jheel me tha, Koi chehra tha magr chand ki tamseel me tha

Ye jo shafaf sa ik aks us jheel
me tha,

Koi chehra tha magr chand ki
tamseel me tha,

Yad karta hoon kahan bhool k
aya hoon usay,

Aisa hi aks meri soch ki
zambeel me tha,

Baat kya thi ye mujhe achi
tarha yad nahi,

Haan tera zikar bhi tha aur bari
tafseel me tha,

Koi paigham tha ankhon me so
ankhon me raha,

Masla asal to paigham ki
tarseel me tha,

Is naye nuskhay me tehreef
hui warna,

Zikar mera bhi kahin Pyar ki
injeel me tha.

Saturday, June 9, 2012

Ajab sorat e haal hoti ja rahi hai, Raat k baad raat hoti ja rahi hai

Ajab sorat e haal hoti ja rahi hai,

Raat k baad raat hoti ja rahi hai,

Woh to ab bhi mukamal hai pathar ki tarah,

Reza reza to meri zaat hoti ja rahi hai,

Main to aaj bhi tanha hoon kal ki tarah,

Saari kainaat to us k sath hoti ja rahi hai.

Qissa E mukhtasar Tamam Hua, Tera Badnam! Naik-Naam Hua

Qissa E mukhtasar Tamam Hua,

Tera Badnam! Naik-Naam Hua,

Kis Hawas ki Hawa chaLi DiL mE,

Aur AarzuOn ka QatL-E-Aam Hua,

Kuch Dikhai hi Na diya muJh kO,

Kahan Manzar ka Ekhtatam Hua,

Main Kahan khud mE Reh gaya BaQi,

Mera her sher Na-Tamam Hua,

Bazzm Barkhaast hO gai Sagar!

BuJh gaya DiL, sukhan Tamam Hua.

Tuesday, May 29, 2012

Hareem e lafz me kis darja be-adab nikla, Jise najeeb samjhte thy km-nasb nikla

Hareem e lafz me kis darja be-adab nikla,
Jise najeeb samjhte thy km-nasb nikla,
Sipah-e-shaam k naizay py aftab ka sar,
Kis ehtamaam se Parwardigar-e-shab nikla,
Hamari garmi-e-guftar bhi rahi be-sood,
Kisi ki chup ka bhi matlab ajab ajab nikla,
Behm hue bhi magr dil ki wehshatein na gaein,
Wisaal me bhi dilon ka ghubar kab nikla,
Abhi utha bhi nahi tha kisi ka dast-e-karm sar se,
K sara shehr liye kaasa-e-talab nikla.

Monday, May 21, 2012

Mehram nahi hai tu hi nawa'haye raaz ka

Mehram nahi hai tu hi nawa'haye raaz ka,
Yaan warna jo hijab hai parda hai saaz ka,
Tu aur sooye ghair nazar haye taiz taiz,!
Main aur dukh teri mazahaye raaz ka,
Hain bs'ke josh e badaa se seeshay uchal rahe,
Her gosha e bisaat hai sar sheesha baz ka,
Kawish ka dil kare hai taqaza k hai hanooz,
Nakhun py qarz is girrah e neem baz ka,
Taraaj e kawish e gham e hijraan hua Ghalib,
Seena k tha dafeena guher haye raaz ka.
(Mirza Ghalib)

Wednesday, May 16, 2012

Shama-e-Shabistaan Chaand Taaray So Gae

Shama-e-Shabistaan Chaand Taaray So Gae,
Mout K Pehloo Me Shaam-e-Gham K Maary So Gae,
Be'Qaraari Me Bhi Aksar Dard'Mandaan-e-Junoon,
Ae Faraib-e-Aarzoo! Tere Sahary So Gae,
Karobar-e-Garmi-e-Doraan Ki Thandi Raakh Me,
Ae Shagofon K Khuda wando! Sharary So Gae,
De Rahi Hai Aaj Bhi Moj-e-Hawadis Loriyaan,
Shorish-e-Tofaan Se Ghabra Kr Kinare So Gae,
Jin Se Naghmy Thy Wafaon K Saraapa Zindagi,
Wo Muhabbat Ki Tilaawat K Ishary So Gae,
Kia Nhi Ma'loom Un Ko Ae Mere Maghmoom Dil,
Jin Se Nazrein Thi Shagufta Wo Nazaray So Gae,
K Damm Se Bazm-e-SAGAR Thi Hareef-e-Kehkishaan,
Ae Shab-e-Hijraan! Kahan Woh Maah'Paary So Gae.

Saturday, May 12, 2012

Hum bhi kitne dewane nikle, Diye se andhera mitane nikle

Hum bhi kitne dewane nikle,

Diye se andhera mitane nikle,

Ghum-e-Dil pe hamare jo hansa karte hain,

Hum unko hi Haal-e-Dil sunane nikle,

Kaghazi Phoolon per aati Nahi baharein,

Ye jaan k bhi gulshan sajane nikle,

Duniya me bikti hain jhooti kahaniyan,

Sache afsane sab hum jalane nikle,

Log Bethe hain bhar k muthi me Namak,

Jane Kia soch k Hum zakham dikhane nikle.

Monday, May 7, 2012

Aise kisi muqaam pe dil ko laya jae

Aise kisi muqaam pe dil ko laya jae, Jahan khushi aur ghum me farq na bataya jae, Jahan kisi majboor ko na sataya jae, Jahanpaise ka koi khel na ho, Ameeri gharibi ka koi male na ho, Aaj koi aisa jahan basaya jae.. Jahan na koi muslim ho na hindu, Na qatil ho na zaalim.. Na sikh ho or esaai,Jahan ban k rahen sab bhai, Jahan mazhab k naam per.. Kisi ka ghar na jalaya jae.!

Saturday, April 7, 2012

Jaisa tum chaho waisa nahi hone wala

Jaisa tum chaho waisa nahi hone wala,
 Warna hone ko yahan kia nahi hone wala, 
 Muqtadir ho to ghareebo se jo chaho le lo, 
 Ezat e nafs ka soda nahi hone wala, 
 Dil ye kehta hai kisi ko bhi na la khatir me, 
 Aqal kehti hai k acha naii hone wala, 
 Amn ! Parchar talk theek sahi.. Lkn amn, 
 Tum ko lgta hai k hoga.. Nhi hone wala, 
 Zarr k maizan me her shaks ko kia toltay ho, 
 Her bashr to sag e dunia nahi hone wala, 
 Mera chehra mere qalb ka akaas, 
 Mera chehra tera chehra nahi hone wala.!!!

Share/Bookmark