Thursday, February 28, 2013

Imaan Salamat Her Koi Mange

*Imaan Salamat Her
Koi Mange,

Ishq
Salamat Koi Hu.

Mangan Imaan,
Sharmaavan
Ishqon,

Dil Nu Gairat
Hoi Hu.


Jis Manzal Nu Ishq
Puhnchaave Imaan
Khabar Na Koi Hu,

Ishk Salaamat
Rakhein Bahu,

Deyaan
Imaan Dharoi Hu.!
(Hazrat Sultan Bahu Sarkar Rehmatullah Alayhi)

Wednesday, February 27, 2013

I'm a Muslim, (ALHAMDULILLAH)

I'm a Muslim,
(ALHAMDULILLAH)
Islam is Perfect but I am not.
If i make a mistake, blame it on me, not on my "Religion".

Monday, February 25, 2013

Nifaaq Se Kabhi Bachny Ki Rah Nahi Milti

Nifaaq Se Kabhi Bachny Ki Rah Nahi Milti,

ALLAH K Ghar Se Bhi Usko Dawa Nahi Milti,

Piye Wo Ghol K QURAN Bhi,

Mareez e Bughz e SAHABA Ko Shifa Nahi Milti.
Haq 4 Yar !

Sunday, February 24, 2013

Seena Ast K Faraan Ast? Ya RAB Che Muqaam Ast Ein?

*Seena Ast K Faraan Ast? Ya RAB Che Muqaam Ast Ein?

Her Zarre Khaak Man Chashme Ast Tamasha Ast.
>Ya ALLAH jahan (Kharq Mubarak rakha hai) seena hai ya faraan hai kia Muqaam hai? Kyun k mere jism ka zarra zarra or bal bal nazare me mast rehne wali aankh ban gai hai, yani seena me Hazrat Moosa Alayhissalam per Tajaliyaat warid hoien or Faraan se Huzoor e Pak Hazrat MOHAMMAD E MUSTAFA
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ka "Noor e Nabuwat" Chamka,
So Hazrat e Allma ye farma rahe hain k Ya RAB yahan is Muqaam per b "Teri Tajaliyaat Nazil" ho rahi hain.!
(Ashiq e Mehboob e KHUDA Hazrat Allama Mohammad Iqbal Rehmatulla Alayhi)

Saturday, February 23, 2013

Khardd Ki Guthiyaan Suljha Chuka Hoon

*Khardd Ki Guthiyaan Suljha Chuka Hoon,

Mere Maula Mujhe Sahib e Janoo'n Kar,

Jo Main Sar Ba-Sajda Hua Kabhi To Zameen Se Aane Lagi Sada'a,

Tera Dil To Hai Sanam Ashna'a Tujhe Kia Mile Ga Namaz Me.!!!!
(Mard e Qalander Allama Mohammad Iqbal Rehmatullah Alayhi)

Al-Quran: Surely ALLAH and (all) His Angels

Al-Quran:
Surely ALLAH and (all)
His Angels invoke
Blessings and Greetings
on the Holy Prophet
MOHAMMAD
[Blessings
and Peace Be Upon Him].
O Believers! You (also)
send blessings on "Him"
and Salute Him with a
worthy salutation of
Peace Abundantly.
[Surah Al Ahzab Ayat#43]
*Subhan ALLAH*

Friday, February 22, 2013

AAP Per Laakh Jan Se Qurban Ya Rasool ALLAH

AAP Per Laakh Jan Se Qurban
Ya Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam),
Barr Aaein Mere Dil K Bhi Arman
Ya Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam),

Kyun Dil Se Main Fida Na Karon Jan
Ya Rasoo ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam),
Rehte Hain Is Me AAP
Ya Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam),

Kushtah Hoon Ru-e-Pak Ka Nikloon Jo Qabar Se,
Jaari Meri Zubaan Py Ho Quran
Ya Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam),

Dunia Se Aur Kuch Nahin Matloob Hai Mujhe,
Le Jaun Apne Sath Main Imaan
Ya Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam),

Mushkil-Kusha'a Hain AAP Main AAP Ka Ghulaam,
Ab Meri Mushkilen Bhi Hon Asaan
Ya Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam).
*Subhan ALLAH*

ALLAH Ta'ala K Habeeb Sarwar e Konain

ALLAH Ta'ala K Habeeb Sarwar e Konain Imaam ul Ambiya Khatm ul Mursaleen Noor e Mujassam Rehmat ul Aalemeen Hazrat
MOHAMMAD
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya:
Mafhoom e Hadees;
"Beshak Musalman Ka Sadqa Karna Uski 'Umar' Ko Barhata Hai Aur Buri Moat Ko Rokta Hai".
(Al mojam ul Kabeer Lil
Tabarani,v17,p22)
*Subhan ALLAH*

Ya ALLAH ! Hamd Se Aajiz Hai Ye Sara Jahaan Tera

Ya ALLAH ! Hamd Se Aajiz Hai Ye Sara Jahaan Tera,
Jahaan Walon Se Kyun Kar Ho Sake Zikr-o-Baya'an Tera,

Zameen o Aasma'an K Zarray Zarray Me Tere Jalway,
Nigahon Ne Jidhr Dekha Nazar Aya Nisha'an Tera,

Thekana Her Jagah Tera Samjhte Hain Jahaan Wale,
Samjh Me Aa Nahin Sakta Thekana Hai Kahan Tera,

Tera Mehboob Paighamber
(Hazrat MOHAMMAD Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Teri Azmat Se Waqif Hai,
K SAB NABIYON Me Tanha Hai Wohi Ek Razda'an Tera,

Jahaan e Rang-o-Boo Ka Razda'an Tu Hai,
Na Koi Hamsafar Tera Na Koi Karwa'an Tera,

Teri
"ZAAT-E-MUALLAH" Aakhri TAREEF K Laiyq,
Chaman Ka Patta Patta Roz-o-Shab Hai Naghma Khuwa'an Tera*
*SuBhAn ALLAH*

Thursday, February 21, 2013

Al-Quran: Sun Lo Beshak Awliya ALLAH

Al-Quran:
Sun Lo Beshak Awliya ALLAH Per
Na Koi Khof Hai Aur
Na Wo Ranjeda O Ghamgen Hon
Ge.
(Surah Yunas, Ayat#62)
*Subhan ALLAH*

Al-Quran:Ay Emaan Walon Haraam Na Tehrao Wo Sothri Cheezin

Al-Quran:Ay Emaan Walon Haraam Na Tehrao Wo Sothri Cheezin K ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Ne Tumhare Liye Halaal Kein Aur Had Se Na Barho Be-Shak "ALLAH" Had Se Bharne Walo Ko Na-Pasand Karta Hai.
(Surah Al-Maeda,ayat#87)
Is Ayat Mubaraka k Mutabik kisi Bhi Cheez ko Haraam ya Halaal Qaraar dena ka ikhtyar ALLAH or RASOOL ko hai, ab jo koi Milaad ya 11wn ko jis me Halaal cheezin Khanay k tor py istamal ki jati hain or us per ALLAH PAK ka Kalaam b parha hota hai aisi cheez ko Haraam kahay wo Khud Biddati hai.!

Wednesday, February 20, 2013

Hazaar Chashmay Tere Sang-e-Raah Se Phootein

*Hazaar Chashmay Tere Sang-e-Raah Se Phootein,
Khudi Me Doob Kar Zarb-e-Kaleem Paida Kar.!
(Allama Mohammad Iqbal)

Tuesday, February 19, 2013

Akhirat ko dunia per muqaddam rakh dono me faida hasil kare ga

*Akhirat ko dunia per muqaddam rakh dono me faida hasil kare ga or jab tu ne dunia ko akhirat per muqaddam rakha to dono me nuqsan uthaye ga.!
(Huzoor Ghaus e Paak RadiALLAH Ta'ala Anho)

Monday, February 18, 2013

Noor e "ILAAHI" Kia Hai Muhabbat "Habeeb" Ki

Noor e "ILAAHI" Kia Hai Muhabbat "Habeeb" Ki,
Jis Dil Me Ye Na Ho Wo Jagah Khok-o-Kharr Ki Hai,

Aur Tum Per Mere "AAQA" (Alayhissalam) Ki Enaiyat Na Sahi,
Munkaro "Kalma" Parhane Ka Bhi Ahsaan Gaya.!!!

KHALIQ-e-Aflaak Ne Tarfaa Kehlaye Chaman

KHALIQ-e-Aflaak Ne Tarfaa Kehlaye Chaman,
Aik Gul-e-Sosan Me Hain Laakhon Gul-e-Yasman,

Nuqta Py Khatt Khenchiye Khatt-e-Sattah Kahay Khatt-e-Ghalat,
Tann Kahay Main Hoon Faqat Jan Kahay Mati Hai Tann,
*Subhan ALLAH*

Sunday, February 17, 2013

Hamare Dard-e-Jigar Ki Koi Dawa Na Kare

*Hamare Dard-e-Jigar Ki Koi Dawa Na Kare,
Kami Ho "Ishq-e-Nabi" Me Kabhi "KHUDA" Na Kare,

Khaak Ho Kar Ishq Me Sona Mila,
Jan Ki Akseer Hai Ulfat "Rasool ALLAH" (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki,

Barq "Ishq-e-Shaih'wala" Ye Giri Wo Tarpi,
Shor Seeno Me Hai Barpa Ye Giri Wo Tarpi,

Jan Hai "Ishq-MUSTAFA" Roz Fazoo'n Kare "ALLAH",
Jis Ko Ho Dard Ka Maza Naaz-e-Dawa Uthaye Kyun,

"Inhen" Jana "Inhen" Maana Na Rakha Ghair Se Kaam,
"ALHAMDULILLAH" Main Dunia Se "Musalman" Gaya.!

Friday, February 15, 2013

Taiyba Na Sahi Afzal Makka Hi Bara Zahid

Taiyba Na Sahi Afzal Makka Hi Bara Zahid,
Ham Ishq K Banday Hain Kyun Baat Barhai Hai, 

Aasi Bhi Hain Kehte Ye Taiyba Hai Zahido, 
Makka Nahi K Jaanch Jahan Khair-o-Sharr Ki Hai, 

Shaan Jamaal-e-Taiyba Jana'an Hai Nafah Mehz, 
Wosst Jalaal-e-Makka Me Sood-o-Zarar Hi Hai.!!! 
*Subhan ALLAH*

Tuesday, February 12, 2013

Ya Rasool ALLAH(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam)

*Ya Rasool ALLAH(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) 
Ye Jo Mehr-o-Maah Py Hai Itlaaq Aata Noor Ka,  
Bheek Tere Naam Ki Hai Ista'ara Noor Ka. 
*Subhan ALLAH*

Sunday, February 10, 2013

Aayen Taskeen e Jaan e Raaz Ki Baaten Karen

Aayen
Taskeen e Jaan e Raaz Ki
Baaten Karen,

Hijr Ki Shab
Saiyyad e Abrar Ki Baaten
Karen,

Bulbulyen Karti Rahen
Chaman e Gul Ki
Guftagoo,

Ham Baaten Karen
Apne AAQA
MOHAMMAD
(Sallallahu Ta'ala Alayhi
Wa'Aalehi Wasallam) K Lab
o Rukhsaar Ki*

Monday, February 4, 2013

Hikmat e Mashriq o Maghrib Ne Sikhaya Hai Mujhe

*Hikmat e Mashriq o Maghrib Ne Sikhaya Hai Mujhe,
Aik Nukta K Ghulamon K Liye Hai Akseer,
Deen Ho, Falsafa Ho, Faqar Ho, Sultani Ho,
Hote Hain Pukhta Aqaaid Ki Bina Per Tameer.!
(Sir Allama Mohammad Iqbal Rehmatullah Alayhi)

Sunday, February 3, 2013

Sabak Parh Phir Sadaqat Ka, Adalat Ka, Shujaa'at Ka

Sabak Parh
Phir Sadaqat Ka, Adalat Ka,
Shujaa'at Ka..

Liya Jae Ga Tujh
Se Kaam PHIR Dunia Ki Imamat
Ka.!!!
(Hazrat Allama Mohammad Iqbal Rehmatullah Alayhi)

Friday, February 1, 2013

Nahi he ISHQ-E-MOHAMMAD-E-MUSTAFA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam)

Nahi he ISHQ-E-MOHAMMAD-E-MUSTAFA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) to Bahanay Banaty Kyun ho?
Agr Bid'at hai Yom-e-NABI To AiYAAM-E-SAHABA Manatay Kyun ho?
RABI UL AWWAL Ka Matlb Hai "BAHAAR KA PEHLA MAHINA",
Phir Bhi Pochte Hain K "JASHN-E-BAHARAN" Manaty Kyun Ho? 
Jis NABI K liye "ALLAH" Ne KAEYNAAT SAJA DI, 
UNKI Wiladat Per Pochte Hain k Ghar ko Sajatay Kyun ho? 
"DUROODON" "SALAMON" Se Mehken Gi FAZA'AEN AB TO,
 YEHi Pehchan-E-MUSALMA'AN Hai,
 'Shetano' Tum Ghabratay Kyun ho?
 NAHI Hai ISHQ-E-MOHAMMAD-E-MUSTAFA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) TO BHANAY BANATY Kyun HO???

Share/Bookmark