Monday, May 13, 2013

Hazrat KHWAJA GAREEB NAWAZ Rehmatullah Alayhi KI HAAYAT-E-TAYYABA:

Hazrat KHWAJA GAREEB NAWAZ Rehmatullah Alayhi KI
HAAYAT-E-TAYYABA:

1-Wiladat-14 Rajab Hijri-535
Sanjar,Isfahaan.

2-Ism e giraami Saiyyad Muinud
Deen Hasan Rehmatullah Alayhi.

3-Waalid-e-Giraami-Hazrat
Khwaja Gayaasud Deen Rehmatullah Alayhi.

4-Waalida-Hazrat Bibi Ummul
Wara Rehmatullah Alayha.

5-Waalid Sahab Ka Saaya Utha-
Hijri 544.

6-Shaikh Ibraheem Maj'bzub Rehmatullah Alayhi Se
Mulaqat Hijri-544.

7-Uloom-e-Zaahiri Ki Takmil-Ba-
Muqam Samarqand, Bukhara,
Hijri-544 se Hijri-550 tak.

8-Aap K Shohra-Aafaak Ustad-
Hazrat Moualana Hisaamud Deen
Or Hazrat Moulana Sharfud Deen.

9-Huzoor Gause Aazam Rehmatullah Alayhi Se Mulaqat-
Bagdaad Sharif Hijri-550.

10-Khwaja Usmaan Haaruni Rehmatullah Alayhi K
Mureed Bane-Hijri-552 Ba-Maqam
Haarun.

11-Shaikh Ziyaud Deen Abu Najib
Abdul Qadir Suharwardi Rehmatullah Alayhi Se
Mulaqat Hijri -555.

12-Bagdaad Se Hind Ki Taraf
Safar-Hijri-557 se 561 Tak.

13-Huzoor Daata Ganj Bakhsh Ali Bin Usman Hajvairi K Rozay
Per Chilla Kashi Hijri-561.

14-Peero Murshid K Sath
Haramain Sharifain Ka Tarikhi
Safar-Hijri -563.

15-Sar Zamine Sanjar Par
Tashrif Aawari-Hijri-580.

16-Huzoor Gause Aazam Rehmatullah Alayhi Se Dobara
Mulaqat-Hijri-580.

17-Hazrat Bhakhtiyar Kaki Rehmatullah Alayhi Ko Murid
Banaya-Hijri-582 Isfahaan.

18-Hazrat Bhakhtiyar Kaki Rehmatullah Alayhi K Sath
Harmain Sharifain Ki Haazri Or
Baargah-e-Risalat (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Se Wilaayat-e-
Hind Ka Milna-Hijri-585 Me.

19-Hazrat Khwaja Bhakhtiyar Kaki Rehmatullah Alayhi Ko
Khilafat Ata Ki-Hijri-585 me Ba-
Maqam-Samarkand.

20-Prithvi Raaj Ki Hukumat Me
Ajmer Shareef Me Aamad-Hijri-586 me.

21-Shahabud Deen Ghori Khwaja
Ki Khidmat Me-Hijri-588 Ba-
Maqam Gizni.

22-Shahabud Deen Ghori Aap K
Murid Bane-Hijri-589 me Ba-
Maqam Ajmer Shareef.

23-Taara Gadh (Ajmer Shareef) Par Raat
Ko Hamla-Hijri-598 me.

24-Delhi Me Tashrif Aawri-
Hijri-611 me.

25-Bibi Ummatullah Rehmatullah Alayha K Sath
Hazrat Gareeb Nawaz Rehmatullah Alayhi Ka Pehla Nikah-
Hijri-590 me.

26-Bibi Asmatullah Rehmatullah Alayha K Sath Hazrat Gareeb
Nawaz Rehmatullah Alayhi Ka Dusra Nikah-Hijri-620
me.

27-Aap Wisaal-6,RAJab, Peer K Din,
Hijri-633 me Ba-Maqam- Ajmer
Shareef Rajasthan.
*Subhan ALLAH*

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark