Friday, May 3, 2013

Al-Quran: To Un Namaziyo Ki Kharabi Hai, Jo Apni Namaz Se Bhoole Bethe Hain, Wo Jo Dekhawa Karte Hain. (Surah Maun,ayat#4,5,6) >

Al-Quran:
To Un Namaziyo Ki Kharabi Hai, Jo Apni Namaz Se Bhoole Bethe Hain, Wo Jo Dekhawa Karte Hain.
(Surah Maun,ayat#4,5,6)
>
ALLAH Tabarak Wa'Ta'la K Mehboob Sarwar e Kainaat Rehmat ul Aalemeen Hazrat MOHAMMAD
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ka Farman Hai Mujhe Tum Per Sab Se Ziada Khuf "Shirk e Asgar" Ka Hai,
Sahaba Karaam
(Rizwanullah Ta'ala Ajma'een) Ne Arz Ki Ya Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ! Shirk e Asgar Kia Hai?
To ALLAH Rab ul Aalemeen K Habeeb e Mukaram Hazrat MOHAMMAD e Mustafa
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya;
"Dekhaway K Liye Amal Karna"
Ba-Roz e Qayamat Jab ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala Bando Ko In K Amaal Ka Badla De Ga To Irshaad Farmaye Ga
"In Logo Ki Tarf Jao Jin K Liye Tum Dunia Me Amal Kiya Karte Thy Dekho Kia In K Pas Tumhain Koi Ajar Milta Hai.
(Sha'b-al-imaan,P333)

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark