Thursday, January 24, 2013

HADEES E NOOR

*HADEES-E-NOOR* 
Al-Quran:
Be-Shakk ALLAH Ki Tarf Se Tumhare Pas Aik Noor Aa Chuka Aur Aik Roshn Kitaab.
(Surah Al-Maiedah 5-15)
Hazrat Jabir (RadiALLAH Ta'ala Anho) Se Riwayat Hai K Maine "ALLAH Rab-ul-Aalemeen" K Mehboob Hazrat "MOHAMMAD"(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Se Sawal Kiya K Sab Se "Pehli" Cheez ALLAH Ta'ala Ne Kon Si Paida Farmai? 
To ALLAH Rab-ul-Izzat K Habeeb Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Jawab Diya: 
"Ay Jabir ! Wo Tere "NABI Ka NOOR" Hai Jise ALLAH PAK NE (Sab Se Pehle) Paida Farmaya". 
(Hadees e Noor page#63,Zarqani Ali-Al-Muwahib..Markaat-ul-Mafateeh) 

2nd Hadees-e-Noor: 
Hazrat Ibne Abbas (RadiALLAH Ta'ala Anho) Se Riwayat Hai K "ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala" K Rasool Hazrat "MOHAMMAD"(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ka "Saaya" Na Tha Jab AAP Dhoop Me Kharay Hote To AAP Ka "NOOR" Suraj Ki Roshni Per "Ghalib" Aa Jata Aur Jab Kabhi Chiraagh Ki Roshni Me Kharay Hote To AAP Ka "NOOR" Chiraagh Ki Roshni Per "Ghalib" Aa Jata. 
(Al-Musnif,page#56) 
Imaam Abdul Razaaq Farmate Hain K Mujhe Hazrat Ma'amar Se Ibne Mankadar Aur Inhen Hazrat Jabir(RadiALLAH Ta'ala Anhuma) Ne Beyan Kiya K Maine "ALLAH Ta'ala" K Rasool Hazarat "MOHAMMAD"(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Se Sawal Kiya K "ALLAH Rab-ul-Aalemeen Ne Sab Se Pehle Kia Paida Farmaya? 
"To ALLAH Rab-ul-Izzat K Habeeb Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Farmaya: 
Ay Jabir ! Wo Tere "NABI" Ka "NOOR" Hai ALLAH PAK Ne Isay Paida Farma Kar Is Me Se Her "KHAIR" Paida Farmai Aur Is K Baad Her Cheez Paida Farmai, 
Jab "ALLAH PAK" Ne "Mere Noor" Ko Paida Farmaya To Isay "12 Hazaar Saal" Tak "Mukaam-e-Qurb" Per "Faeyz" Rakha Phir Is K "4 Hissay" Kiye-Aik Hissa Se "Arsh-o-Kursi" Aur Aik Hissa Se "Haamleen-e-Arsh Aur Khazneen-e-Kursi" Paida Farmaye, 
Phir Chothay Hissay Ko Muqaam-e-Muhabbat Per 12 Hazaar Saal Rakha Phir Isay 4 Me Taqseem Kiya Aur Loh-o-Qalam Aur Jannat Banayi, 
Phir Chothay Ko Muqaam-e-Khof Per 12 Hazaar Saal Rakha Phir Is K 4 Ajzaa Kiye Aur Aik Juzz Se Malaa'ika(Farishte) Aur Shams-o-Qamar Aur Sitaray Banaye, 
Phir Chothay Juzz Ko Muqaam-e-Rija'a Per 12 Hazaar Saal Tak Rakha Phir Is K 4 Ajzaa Banaye Aur Aik Se Aqal Dosre Se Ilm Teesray Se Hikmat Aur Asmatt-o-Tofeeq Banayi, 
Phir Chothay Ko Muqaam-e- Haya Per 12 Hazaar Saal Tak Rakha Phir "ALLAH Ta'ala" Ne Is Per Nazr-e-Karam Farmayi To Is "Noor" Ko Paseena Aya Jis Se "Noor" K "Qattray" Jharay To "ALLAH Rab-ul-Aalemeen" Ne Her "Qattra" Se "NABI" Ki "Rooh" Ya "RASOOL" Ki "Rooh" "Paida" Farmayi Phir "Arwaah-e-Ambiya" Ne "Saans" Liya To "ALLAH Ta'ala" Ne Anfaas Se "Ta-Qayamat" "Auoliya" "Shuhda'a" Aur "Farmabardaron" Ko Paida Farmaya, 
To "Arsh-o-Kursi" "MERE NOOR" Se,"Gird-o-Bain" "MERE NOOR" Se,"Arwaah-e-Ambiya" "MERE NOOR" Se,"Mala'aika" "MERE NOOR" Se,"Jannat Aur Iski Tamaam Naimtain "MERE NOOR" Se,"Mal'aika Sab'aa Samawaat" "MERE NOOR" Se,"Shams-o-Qamar Aur Sittaray" "MERE NOOR" Se,"Aqal-o-Tofeeq" "MERE NOOR" Se,"Arwaah-e-Rasool-o-Ambiya" "MERE NOOR" Se,"Shuhda'a-o-Saleheen"  
*MERE NOOR K FAIZ SE HAIN* 
Phir "ALLAH Ta'ala" Ne "12 Hazaar Parday Paida Farmaye"To "ALLAH Ta'ala" Ne 
"Mere NOOR" K "Juzz Raabeh" Ko Her Pardaa Me "1000" Saal Rakha Aur Ye "Mukaam-e-Abudiyatt" "Saqeena" "Sabar" "Siddq-o-Yaqeen" Thay,To "ALLAH Ta'ala" Ne Is "Noor" Ko "1000" Saal Tak Is Pardaa Me "Ghutta-Zann" Rakha, 
Jab Isay Is Pardaa Nikaala Aur Isay "Zameen" Ki Tarf "Bheja" To Is Se "Mashrik-o-Maghrib" Youn "Roshan" Huay Jaise Tareek Raat Me "Chiraagh" 
Phir "ALLAH Ta'ala" Ne Hazrat "Aadam" (Alayhissalam) Ko Zameen Se Paida Farmaya To Inki "Paishaani" Me "NOOR" Rakha Phir Isay "Hazrat Sheesh" Ki Tarf "Muntaqil" Kiya Phir Wo "Tahir Se Tahir" Ki Tarf "Muntaqil" Hota Hua "Abdullah Bin Abdulmutlib" (RadiALLAH Ta'ala Anho) Ki "Pushtt Mubarak" Me Aur Hazrat "Aamna" Bint-e-Wahab (RadiALLAH Ta'ala Anha) K "Shikam-e-Mubarak" Me Aaya, 
Phir "ALLAH Rab-ul-Izzat" Ne "Mujhe" Dunia Me Paida Farma Kar "Rasoolon Ka Sardaar" "Imaam-ul-Ambiya" "AAKHIRI NABI REHMAT-UL-AALEMEEN AUR TAMAM ROSHAN AZA'A WALON KA RAH-NUMA BANAYA" To Ay Jabir (RadiALLAH Ta'ala Anho) ! 
=*YOUN TERE NABI KI TAKHLEEQ SE IBTEDA'A HUI*= 
(Musnif Abdul Razaaq,1,h18, Salaat-ul-Saffa Noor-al-Mustafa, Sab se pehla Kunnpage12, Risala Yakroozi page11, Hadyat-ul-Mahdi page56, nashar al-tayyab page5)  

*Tu Hai Saaya NOOR Ka Her Azoo Tukra NOOR Ka, 
Saaya Ka Saaya Na Hota Hai Na Saaya NOOR Ka, 

Teri Hi Janib Hai Paanchon Waqt Sajda NOOR Ka, 
Rokh Hai Qibla NOOR Ka Abru Hai Kaaba NOOR Ka. 
*Subhan ALLAH*

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark