Tuesday, January 22, 2013

ALLAH Rab ul Izzat aur Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ki Mushtarka Sifaat

="ALLAH Rab ul Izzat aur Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ki Mushtarka Sifaat"= 
( ALLAH Ta'ala aur ALLAH Ta'ala k Rasool Hazrat MOHAMMAD Sallallahu Ta'ala Alyhi Wa'Aalehi Wasallam *Sach* Farmate Hain).
"ALLAH PAK aur ALLAH  k Rasool Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) sirF sach Farmate hain (Be-shak)"
(1)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Muallam" hain, 
{Surah Al-Rehman ayat#2, Surah Al-Baqara ayat#129}.

(2)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Paak" hain,
{Surah Noor ayat#21 , Surah Al-Baqara ayat#129}. 

(3)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Noor" hain,
{Surah Al-Noor ayat#35, Surah Al-Maaieda ayat#15}. 

(4)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono ko "Razi" karna Lazim hai,
{Surah Al-Tauba ayat#62}.

(5)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Kareem" hain,
{Surah Al-Anfattar ayat#2, Surah Al-Takveer ayat#19}.

(6)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Rauoof" hain,
{Surah Al-Noor ayat#20, Surah Al-Tauba ayat#128}.

(7)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Raheem" hain,
{Surah Al-Noor ayat#20, Surah Al-Tauba ayat#128}.

(8)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Haadi" hain,
{Surah Al-Shurrah ayat#52, Surah Al-Baqara ayat#212}. 

(9)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Walli" hain, 
{Surah Al-Baqara ayat#257, Surah Al-Baqara ayat#212}.


(10)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono ki "Izzat" Lazim hai, 
{Surah Al-Nissa ayat#139, Surah Al-Munafiqoon ayat#8}. 

(11)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Andheron" se "Nikalte" hain, 
{Surah Al-Ahzaab ayat#43, Surah Al-Ibraheem ayat#8}. 

(12)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Inaam" ki Barish karte hain,
{Surah Al-Ahzaab ayat#37, Surah Al-Ahzaab ayat#37}. 

(13)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono ki "Atta'at" Lazim hai, 
{Surah Al-Imran aya#132, Surah Al-Nissa ayat#80}. 

(14)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Halaal" karne ka Ikhteyar rakhte hain,
{Surah Al-Baqara ayat#275, Surah Al-Ahraaf ayat#157}. 

(15)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Haraam" karne ka Ikhteyar rakhte hain, 
{Surah Al-Tauba ayat#29, Surah Al-Ahraaf ayat#157}.(16)= ALLAH TA'ALA aurMOHAMMADRasool ALLAH dono "Ammar Maroof" k Maalik hain,{Surah Al-Nahl ayat#90,Surah Al-Ahraaf ayat#157}

(17)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMADR asool ALLAH dono "Nahee Anal-Munkir" k Maalik hain, 
{Surah Al-Nahl ayat#90,Surah Al-Tuba ayat#74}. 

 (18)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Ghanni" hain aur "Fazal" karte hain, 
{Surah Al-Tuba ayat#74}. 

(19)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Atta" karte hain, 
{Surah Al-Tuba ayat#59}. 

(20)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Hakeem"
{Surah Al-Baqara ayat#220, Surah Al-Jumma ayat#2}. 

(21)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Wa'aiz" hain, 
{Surah Al-Nahl ayat#90, Surah Al-Sabaa ayat#46}. 

(22)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Aa'maal" dekhte hain, 
{Surah Al-Tuba ayat#94}. 

(23)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH "Haakim" hain, 
{Surah Al-Nissa ayat#65}. 

(24)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH "Faisla" karte hain, 
{Surah Al-Ahzaab ayat#36}. 
(Note)=!NABI E REHMAT-UL-AALEMEEN Se Bughz-o-Keena Rakhne Wale Munafiqeen Sahiban Kia Ye Shirk ho raha hai  ! 
"ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Apni Sifaat Apne Habeeb Hazrat MOHAMMAD E MUSTAFA AHMAD E MUJTABA *Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam* aur Hamare Payare AAQA *Alayhi Salaatu Wassalam* Ko Atta Kar K Apni RABOOBIYAT ka Mazhar Bana Raha Hai Tum Munafiqeen Log Apne Aqeeday Ko Darust Karo Aur Is K Liye Quran e Majeed Parha Karo Jo ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala K Mehboob Noor e Mujasam Imaam ul Ambiya Rehmat ul Aalemeen Khulq e Awwal Nabi e Aakhir Hazrat MOHAMMAD *Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam* Ki Shaan e Aqdas Se Bhara Hua Hai, 
[ALLAH Rab Ul Izzat Khaliq e Qull Hai-Aur MOHAMMAD Rasool ALLAH Maalik e Qull Hain, 
ALLAH Ta'ala Ki "Alwahiyat" Me Kisi Ghair-ALLAH Yani Jhoothe ALLAH Ko Shareek Karna Shirk Hai Jhoothe Se Muraad "Butt" Hain, 
ALLAH Jalla Shanahu Ne Apni Safaat Hamare AAQA Aur Apne Mehboob Hazrat MOHAMMAD Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam Ko Atta Ki Hain Aur Jo Cheez Atta Kar Di Jae Phir Is Se Shirk Nahi Hota Wahid Cheez Jo ALLAH Paak Ne Kisi Ko Atta Nahi Farmai Wo Hai "Alwahiyat" Aur Isi Ko "Tuheed" Kehte Hain].!!! 
*Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Ghulami "Deen e Haq" Ki Shart e Awal Hai, 
Ho Agr Is Me Kuch Khaami To Sab Kuch "Na-Mukamal" Hai* 
*Subhan ALLAH*

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark