Tuesday, November 12, 2013

JANNAT KA SEB

JANNAT KA SEB
******
Ek Martaba Hazrat Imaam Hasan Aur Imaam Hussain RaziAllahu Ta'ala Anhuma Ne Bachpan Me 2 Takhtiyon Per Kuch Likha Aur Ek Dosre Se Kehne Lage K Mera Khath Accha Hai,
Chunanche,
Dono Is Baat Per Faisla Karane K Liye Haidr e Karrar Hazrat Maula Ali RaziAllahu Ta'ala Anhu K Paas Pahuche..!
Maula Ali RaziAllahu Ta'ala Anhu Ne Ye Faisla Hazrat Bibi Fatima RaziAllahu Ta'ala Anha K Paas Pahucha Diya...!
Bint e Rasool Khatoon e Jannt Hazrat Bibi Fatima RaziAllahu
Ta'ala-Anha Ne
Farmaya: Beto ! Is Baat Ka Faisla Tum Apne Nana Jaan Huzoor (MOHAMMADur
RasoolALLAH
Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Se Karao..!
Rehmatul Aalemeen AAQA Hazrat MOHAMMAD Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Tumahra Faisla
Jibrayil Ameen Alayhissalam Karenge..!
Jibrayil Ameen Alayhissalam Haazir Hue Aur Kehne Lage,
Ya Rasoolallah Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam
ALLAH Ta'ala Yeh Faisla Khud Farmayega!
Chunanche,
ALLAH Ta'ala Ka
Jibrayil Ameen Alayhissalam Ko Hukm Hua K
Jibrayil Jannat Se Seb(apple) Lejao! Wo Seb Un Dono Ki Takhtiyon Per Daal Do Seb Jiski
Takhti Per Taher
Jaye Wohi Khath Accha Hai..!
Chunanche,
Hazrat Jibrayil e Ameen Alayhissalam Ne
Jannat Ka Ek Seb Laker Un
Takhtiyon Per Gira Diya To
ALLAH Rab ul Izzat K Hukm Se Us Seb K 2 Tukde Hogaye..!
Ek Tukda To Hazrat Imaam Hasan RaziAllahu Ta'ala Anhu Ki
Takhti Per Aur Dosra Hazrat Imaam Hussain
RaziAllahu Ta'ala Anhu Ki Takhti Per Ja Pada
Aur Faisla Hua
K Dono K Hi Khath Acchay Hain.!
(Nujjahtul Majalis
jild-2,P-391)
*****
SABAK
*****
Hazrat Imaam Hasan Aur Hussain
RaziAllahu Ta'ala Anhuma Ko
ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala Se Ek Khaas Nisbat Thi !
ALLAH Ta'bark Wa'Ta'ala Apne
Mehboob Hazrat MOHAMMAD E MUSTAFA Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam K In
Shehzadon Ki Dil-Shikni Nahi Chahta..!
To Phir Jo Shaks In Shehzadon Ki Kisi Bhi Kism
Ki Toheen Kare To Wo Kis Qadr Zaalim Hain.!!!
ALLAH Rab ul Aalemeen K Habeeb Rehmatul Aalemeen Noor e Mujasam Shafi e Youm al Nashoor Sarwar e Kainaat Wajah e Takhlik e Kainaat Muhsin e Insaniyat Imaam ul Ambiya Khatm ul Rasul Hazrat
*MOHAMMAD*
Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam Se Aur AAP Ki Aal Ahl e Bait e Atthaar Se MUHABBAT Hi Me Nijaat Hai..!
Kyun K Sarkar e Do Aalam K Farman K Mutabi Meri Aal (Ahl e Bait) Kashti e Nooh Alayhissalam Ki Man'ind Hai Jo Isme Sawaar Ho Gaya Nijaat Pa Gaya.!!!
*Subhan ALLAH*

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark