Sunday, June 2, 2013

Islaam Me Yateem Se Husn e Sulooq Ka Hukam

Al-Quran:
Aur Yateemo Ko Un K
Maal Do Aur Suthre K Badle Ganda Na Lo Aur Un K Maal Apne
Maalo Me Mila Kar Na Kha Jao Be-shak Ye
Bada Gunah Hai.
>
And Give The Orphans Their Wealth And Do Not Exchange The Pure For The Foul And Do Not Devour Or Use Up Their Wealth Mixing It
With Your Own This Is
Indeed A Great Sin.
(Surah Al-Nisa,Ayat#2)
>>
Al-Quran:
Wo Jo Yateemo Ka Maal Na-Haq
Khate Hain Woh To Apne Pait Me
Niri Aag Bharte Hai Aur Koi Dam Jata Hai K Bhadakte Dhade
Me Jayenge.
>
Indeed Those Who Unjustly Devour The Wealth Of Orphans Only Fill
Their Bellies With Fire And Soon They Will Go Into A
Blazing Pit.
(Surah Al-Nisa,Ayat#10)
>*
Mafhoom
e Hadees:
ALLAH Rab ul Izzat K Mehboob Rehmat ul Aalemeen Hazrat
MOHAMMAD
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya:
Halaak Kar Dene Wali 7
Chezon Se Bacho?
(1)=ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala K Sath Shirk Karna.

(2)=Jaadu Karna.

(3)=Jis
Jan Ka ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Ne Qatal
Karna Haram Kiya Usko
Qatal Karna Magar Haq K
Sath.

(4)=Yateem Ka
Maal Khana.

(5)=Sood
Khana.

(6)=Larai K Din
Pusht Phair Kar
Bhagna.

(7)=Khawand
Wali Pak Daman
EmanDar Auraton Per
Tuhmat Lagna.
[Muslim Shareef Hadees,#170, Jild #1, Ravi: Abu
Huraira RaziALLAH Ta'ala Anhu)

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark