Tuesday, May 21, 2013

Ujala Jiska Hai Do-Jahan Me wo Mere AAQA (Alayhissalam) Ki Roshni Hai

Ujala Jiska Hai Do-Jahan Me wo Mere AAQA (Alayhissalam) Ki
Roshni Hai,

Unhi K Qadmon Ki
Barkaton Se Ye Zindagi Aaj Zindagi Hai,

Durood Padhna Salaam Padhna Her Ek Pal Unka Naam Padhna,

Jo Arz Karna Unhi Se Karna Sikhaya "ALLAH" Ne Hamen Yehi Hai,

Hisaab Ka Din Kathin To Hoga Magar Hamen Unka Aasra Hai,

Wo Aa Hi Jayenge Bakhshwane Shafa'at Unhi Ko Atta Hui Hai,

Kahan Hai Dunia Me Shehar Aisa "Madine" Jaisa "Madine" Jaisa,

Hai Fakhr e Jannat Zameen Ka Tukda Jahan Pe "Lehd e NABI"
Bani Hai,

Wo Khushbu e Zulf e
Mustafa (Alayhissalam) Hai K Mushk
Bhi Heech Jis K Aage,

Mahekti Galliyan Ye Keh Rahi Hain Sawaari
Unki Abhi Gayi Hai,

Unhi Ka Charcha Hai Aasman Per Zameen Per Bhi Zikr Hai Unhi Ka,

Her Ek Gul Me Har Ek Kali Me Mahek Unhi Ki Basi Hui Hai,

Wo Sabz Gumbad Wo Unka Roza Wo Unki Masjid Ka Gosha Gosha,

Qadam Qadam Per Lage Hai Aisa Falak Se Jannat Utar Padi Hai,

Wohi Hain "MOHAMMAD"
Wohi "Ahmad"
Wohi Hain "Mehmood"
Wo Hain "Haamid" (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam),

"Hamid" Wo Hain "Saeed" Wo Hain Unhi Se Hamari Lau Lagi Hai.
{ASSALATU
WASSALAMO ALAYKA
YA SAIYYADI RASOOL-
ALLAH,
WA'ALA AALEKA
WA'ASHABIKA YA
SAIYYADI
MOHAMMADURASOOL-ALLAH}
♥Subhan ALLAH♥

1 comment:


Share/Bookmark