Monday, May 20, 2013

ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala K Mehboob Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ka Husn-e-Sulooq

ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala K Mehboob Rehmat ul Aalemeen Saiyyad ul Ambiya Wa'Khatm ul Mursaleen Sarwar e Kainaat Muhsin e Insaniyat
Hazrat MOHAMMAD e Mustafa Ahmad e Mujtaba (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ka Husn-e-Sulooq ..
Al-Quran: "Beshak
Tumhare Pas Tum Hi Me
Se Ek Rasool
(Alayhissalam) Aaye Hain,
Jo Cheez Tumhen
Nuqsaan Pohnchati Hai,
Unhain Bohat Giraan
Guzarti Hai, Tumhari
Haqeeqi Bhalai Ki Bari
Tarap Rakhte Hain, Emaan
Walo'n K Haq Me Barey
Shafeeq, Meherban "Rauf-
Ur-Rahim" Hain". [Surah
Tauba:128]
>
ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala K Habeeb Aur Hamare Pyare Kareem AAQA Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Tamam Kainaat K Rasool Aur ALLAH PAK Ki Tamam Makhlokaat K Liye Rehmat ul Aalemeen Hain
Sarkar e Do-Aalam Huzoor Pur-Noor Shafi-e-Yom-al-Nashoor Ki Apne Khadim Se Husn-e-Sulooq Ki Ek Adna Si Misaal Mafhoom e Hadees e Pak;
Hazrat Anas
(RaziALLAH Ta'ala Anhu) Se
Riwayat Hai K,
Maine Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi
Wasallam) Ki
Khidmat 10
BarasTak Ki.
Mujhe Qasam Hai ALLAH Ta'ala Ki,
Kabhi Bhi Huzoor Rehmamt ul Aalemeen Hazrat MOHAMMAD
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne
Mujhko,
"Uff" Tak Na Kaha,
Aur,
Na Kabhi Ye Kaha K,
Tu Ne Ye Kaam Kyun
Kiya?
Aur,
Ye Kaam Kyun Na
Kiya Jo Khadim Ko
Karna Chahiye Tha.
(Sahih
Muslim,Jild#6,Hadees#5976)
*Subhan ALLAH*

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark