Friday, May 17, 2013

ALLAH Rab ul Aalemeen K Rasool Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Raston Per Baithne Se Mana Farmaya Hai

ALLAH Rab ul Aalemeen K Habeeb Rehmat ul Aalemeen Muhsin e Insaniyt Huzoor Pur-Noor Shafi e Yum-al-Nashoor Hazrat MOHAMMAD e Mustafa Ahmad e Mujtaba
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi
Wasallam) Ne
Raston Per Baithne
Se Mana Farmaya
Hai;
Phir Farmaya K
Agar Tum Raston
Per Baithe Bagair
Nahi Reh Sakte,
To Raston Ka Haq
Adaa Karo,
Sahaba Karaam (Rizwanullah Ta'ala Ajma'een) Ne Arz Kiya,
Ya Rasool ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) "Wo Haq Kia Hai"?
To ALLAH Rab ul Izzat K Mehboob Aur Hamare Kareem Kaali Kamli Wale AAQA Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Irshaad
Farmaya K:

(1)= Apni Nigaah Ko
Nichi Rakho,

(2)= Takaleef Deh
Chizon Ko Door Karo,

(3)= Salaam Ka Jawab
Dena,

(4)= Naiki Ka Huqum
Dena,
Aur Buraayi Se
Rokna.
(Sahih
Muslim,Jild-3,Page-122,Baab-32,Hadees
No.5528).

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark