Monday, March 4, 2013

Ein Kaar e Hakeemi Nisst Daaman e Kaleemi Geer

Ein Kaar e Hakeemi Nisst Daaman e Kaleemi Geer,
Sad Banda e Sahil Mast Yakk Band e Darya Mast.!
>Ye Kaam (yani Musalmano me sahi fehm paida karna) aqal o danish o hikmat ka kaam nahi hai bal k is k liye kisi Kaleemullah (Moosa Alayhissalam) ka Daman thamna chahiye kyun k sahil per sar-masti or baten karne wale 100 admi b is 1 k barabr nahi ho sakte jo sumander k andr uter kar mast hai Hakimo(Falsafiyon) ko "subak'saraan e sahil" se tashbih di hai k faqat sahil per khare ho kar sumander ki baten karte hain jab k Hazrat Moosa Alayhissalam sumander k andr uter kar isko paar kar jate hain So aise hi kisì "Aik" Admi ki zarorat hai na k so so admiyo ki jo sirf so so baten karte hain.!
(Mufakir e Deen o Millat Hazrat Allama Mohammad Iqbal Rehmatullah Alayhi)

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark