Tuesday, July 24, 2012

Wo 1400 Saal Pehle Yahan Tashreef Laye Thy, Magar Khushbo Abhi Tak Hai Madine Ki Hawaon Me

Wo 1400 Saal
Pehle Yahan Tashreef Laye
Thy,

Magar Khushbo Abhi
Tak Hai Madine Ki Hawaon
Me,

Jo Aik Pal Me Dilon Ki
Bastiyan Abaad Karta
Hai,

Wohi Jado Abhi Tak Hai
Madine Ki Hawaon Me,

Jo Un
Ki Untni K Naqsh-e-Pa K
Saath Chalay Thy,

Madine K
Falaq Se Ab Wo Badal Ja
Chuke Lekin,

Abhi Tak In Ka
Saaya Hai Madine Ki Hawaon
Me,

Sawagat K Liye Jo
Bachiyo Ne Geet Gaye
Thy,

Abhi Tak In Ka Charcha
Hai Madine Ki Hawaon
Me,

Wo Masjid K Menaaron K
Jalu Me 'Gumbad-e-
Khazra,

Aur Is 'Gumbad' K
Niche *Baagh-e-Jannat* K
Kinaare Per,

Wo Aik 'Jaali'
Sunehri Si,

K Jis K Roznon K
Paar Aik Aisa Ujala Hai,

K Jis
Ka *Noor* Hai Tabaan
Madine Ki Hawaon Me,

Ajab
Aik Kaif Ka Mahol Hai Is
'Rahdaari' Me,

Jise Izhaar Me
Lana Na Mumkin Tha Na
Mumkkin Hai,

"Adab Gaah
Heest Zair Asmaan Az Arsh
Nazuk Tar,
Nafs Gum-Karda
Me Aaiyd Junaid o Ba-
Yazeed(Rehmatullah Alayhi)
Ein Ja",

Qalm Likhne Se Aajiz
Hai Zubaan Me Girhain Parti
Hain,

Ye Kaisa Raaz Hai
Pinhaan "Madine" Ki
Hawaon Me.!

*YA RASOOL ALLAH TERE DAR KI FIZAON KO SALAaAaAaM..*
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam)
☆Subhan ALLAH☆

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark