Wednesday, June 13, 2012

Al-Quran: Ay Emaan Walon Haraam Na Tehrao Wo Sothri Cheezin K ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Ne Tumhare Liye Halaal Kein Aur

Al-Quran:
Ay Emaan Walon Haraam Na Tehrao Wo Sothri Cheezin K ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Ne Tumhare Liye Halaal Kein Aur Had Se Na Barho Be-Shak "ALLAH" Had Se Bharne Walo Ko Na-Pasand Karta Hai.
(Surah Al-Maeda,ayat#87)
Is Ayat Mubaraka k Mutabik kisi Bhi Cheez ko Haraam ya Halaal Qaraar dene ka ikhtyar ALLAH aur RASOOL ko hai, ab jo koi Kundo k Khanay ko jis me Halaal cheezin Khanay k tor py istamal ki jati hain or us per ALLAH PAK ka Kalaam bhi parha jata hai to phir kondo ka khana Melaad, Khatam , Neyaaz waqaira ka khana ya uska ehtamam krna na-jaiz ya haraam kaise?
Aur jo koi ALLAH PAK ki Halaal ki hui cheez ko haraam kahay wo bila'shubha bid'ati or lanti hai,
kyou k ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala ne jin cheezon ya kaamo ko Halaal qarar diya un k krne me Khair,bhalai or jaza hai, or jin cheezo ya kaamo k ko Haraam qarar diya mana Farmaya un me nuqsan, burai or saza hai,
ALLAH RAB-UL-EZZAT tamam musalmano ko apne btaye hue seedhe rastay py or apne Mehboob Rehmat ul Aalemeen
Hazrat MOHAMMAD E MUSTAFA AEHMAD E MUJTABA k naqsh e qadam py chalne ki tofiq ata farmaye.
Aameen.

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark