Friday, May 25, 2012

Ham tamam Musalmano ka ye farz hai k akhbaraat or rasail me jo Qurani ayaat o Ahaadees ya Muqadas naam likhe hote hain unka ehtaram karen or unko raddi me bechne ya kooray me NA phenken

Al-Quran:Aur
jo ALLAH k nishano ki
tazeem kare to ye dil ki
parhezgari hai.(Surah Al-
Haj:ayat#32) >
Al-Quran:Isay
(Quran) na chhuein magar
ba-wazo
.(Surah Al-
Waqia:ayat#79)
>
Al-
Quran:
Bari barkat wala hai
tumhare RAB ka naam jo
Azmat aur Buzargi wala.
(Surah Al-Rehman:ayat#78)
Hazrat Ali
(RadiALLAH Ta'ala Anho) se
riwayat hai k Sarwar e
Kainat Hazrat MOHAMMAD
(Sallallahu Ta'ala Alayhi
Wa'Aalehi Wasallam) ne
farmaya:Koi likha hua
gaghaz(paper) aisa nahi jis
per ALLAH Ta'ala ka naam ho
jo zameen k na-pak hisay
per gira ho ALLAH Rab-ul-
Ezzat is gaghaz ki tarf apne
Farishte bhejta hai jo is
gaghaz mubarak ko apne
Noorani Paron se dhaanp
lete hain aur usko Pak
rakhte hain aur phir ALLAH
Ta'ala apne Dosto me se kisi
Dost ko bhejta hai jo is
gaghaz ko zameen se utha
leta hai jo banda aisa
gaghaz uthata hai jis
per ALLAH Tabarak
Wa'Ta'ala ka naam likha hua
ho to ALLAH PAK iska naam
Elleen(Jannat ka aala
muqaam) me buland
farmaye ga agrche is k
Waldain kufar ki halat me
maray hon- ALLAH Ta'ala in
ka azaab halka farmaye ga
(azaab halka ho ga
bakhshish nahi kyun k
kafiro ki bakhshish nahi)
{Muajam sagheer tibrani,j#
1,p#144}
Ham tamam Musalmano ka ye farz hai k akhbaraat or rasail me jo Qurani ayaat o Ahaadees ya Muqadas naam likhe hote hain unka ehtaram karen or unko raddi me bechne ya kooray me phenkne ki bajae ya ganday nadi nalo me phenkne ki bajae ache tariqe se zameen me garha khod k dafan kren ta k in awraaq per jo Muqadas naam likhe hote hain unki Behurmati na ho..
Jazaak ALLAH

No comments:

Post a Comment


Share/Bookmark