ALLAH Ta'ala K Habeeb Rooh e Kainaat Wajh e Takhleek e Kainaat Saiyyad ul Bashr Noor e Mujassam Rehmat ul Aalemeen Imaam ul Ambiya Khatm ul Mursaleen Hazrat MOHAMMAD e Mustafa Ahmad e Mujtaba(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam) Ka "Paseena" Atter Se Bhi Barh K Hai,=Hadees1=Saiyyadna Abu Huraira (RadiALLAH Ta'ala Anho) Farmate Hain K Aik Shakhs Huzoor Sarwar e Konain Hazrat MOHAMMAD(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Ba'ar-gah e Aqdas Me Hazir Hua Aur Arz Ki Ya Rasool ALLAH(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) !Meri Beti Ki Shadi HaiLekin Mere Pas Isay Lagane K Liye Khushboo Nahi Hai AAP K Darr Se To Kabhi Bhi Koi Khali Nahi Jata Main Apni Beti K Nikah Ki Rasm K Liye Khusboo Kharidna Chahta Hoon Meri Kuch Imdaad Ho Jae?
Sohne Kaali Kamli Wale Rehmat ul Aalemeen AAQA(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Tabbasum Farmaya Aur Farmaya Jao Koi Khule Moo Wali Shishee Aur Lakri Le Aao... Wo Shakhs Jaldi Jaldi Gaya Aur Le Aya, Garmi Ka Mosam Tha Aur AAP (Alayhissalam) K Jism e Mubarak Se "Paseen" Beh Raha Tha,AAQA (Alayhissalam) Ne Wo Lakri Le Kar Apni "Kallayee" Se "Paseenay" K Qatray Jama Kiye Aur Shishee Me Daal Diye Aur Farmaya: "Jao Ye Khushboo Le Jao.. Tum Bhi Lagao.. Beti Ko Bhi Lagao.. Saray Ghar Wale Lagao Tumhari Aainda Naslo'n Se Bhi Khushboain Aya Karen Gi,Us Shakhs Ne Wo Khushboo Le Ja Kar Khud Bhi Lagai.. Apni Beti Ko Bhi Lagai.. Aur Saray Ghar Wale Jumma K Din Ahtemaam Se Lagate.. Ab Wo Jidhr Bhi Jate Galiyon Bazaron Me Khushbo K Hullay Aane Lagte Her Tarf Khushboain Phail Jati,
Inki Naslon Me Bhi Ye Khushboo Muntakil Hoti Rahi Phir Madinay Walon Ne Inka Naam Hi Rakh Diya "Khushboo Walo Ka Ghar".(Mowahib Aldunia, Masnad Abu Ya'ala 11/185)*Subhan ALLAH*=Hadees2nd=Hazrat Ans RadiALLAH Ta'ala Anho Farmate Hain "Mujhe Qasam Hai Tajdaar e Madina Ki Zulfon Ki" Mera Imaan Hai K Mehboob e KHUDA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) K Jism e Aqdas Ki Khushboo Per Kastoori-o-Ambbur Bhi Qurban Hain.(Sahih Bukhari Kitaab Almunakab Hadees#3328)*Ambbur Zameen, Abeer Hua, Mushk Tar Ghuba'ar,,Adna'a Si Ye Shanakht AAQA(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Teri Rah-Guzr Ki Hai**Subhan ALLAH*

No comments:
Post a Comment