Shama-e-Shabistaan Chaand Taaray So Gae,
Mout K Pehloo Me Shaam-e-Gham K Maary So Gae,
Be'Qaraari Me Bhi Aksar Dard'Mandaan-e-Junoon,
Ae Faraib-e-Aarzoo! Tere Sahary So Gae,
Karobar-e-Garmi-e-Doraan Ki Thandi Raakh Me,
Ae Shagofon K Khuda wando! Sharary So Gae,
De Rahi Hai Aaj Bhi Moj-e-Hawadis Loriyaan,
Shorish-e-Tofaan Se Ghabra Kr Kinare So Gae,
Jin Se Naghmy Thy Wafaon K Saraapa Zindagi,
Wo Muhabbat Ki Tilaawat K Ishary So Gae,
Kia Nhi Ma'loom Un Ko Ae Mere Maghmoom Dil,
Jin Se Nazrein Thi Shagufta Wo Nazaray So Gae,
K Damm Se Bazm-e-SAGAR Thi Hareef-e-Kehkishaan,
Ae Shab-e-Hijraan! Kahan Woh Maah'Paary So Gae.

No comments:
Post a Comment