Paigaam zindagi ne diya mout ka mujhe,
Marne k intzar me jeena para mujhe,
Is inqalab ki bhi koi hadd hai dosto !
Na-ashna samjhte hain ab ashna mujhe,
Kashti pohanch sakay gi ye ta sahil e murad ?
Dhoka na de Khuda k liye na-Khuda mujhe,
Wo tool-e-umar jis me na ho lutf e zindagi,
Mil jae misl e Khizr to kia faida mujhe,
Doon tera sath umer e rawan kis tareek se ?
Aankhen dekha rahe hain tere naqsh e pa mujhe,
Takhliq e kaiynaat ko socha kia magar !
Kuch ibteda mili na inteha mujhe.

No comments:
Post a Comment