La Ilaha Illallah Khudi Ka Sirr-e-Nihan
LaIlaha Illallah,
Khudi Hai Taeg, Fasan
La Ilaha Illallah,
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Me Hai
Sanam Kudah Hai Jahan,
La Ilaha Illallah,
Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka Soda
Faraib Sood-o-Zayan,
LaIlaha Illallah,
Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya,
Ye Rishta-o-Pewand Buttan-e-Weham-o-Guman,
La Ilaha Illallah,
Khird Hui Hai Zaman-o-Makan Ki Zunnari
Na Hai Zaman NaMakan,
La Ilaha Illallah,
Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka
Nahin Paband Bahar Ho Ke Khazan,
LaIlaha Illallah,
Agarche Butt Hain Jamat Ki Astinon Me
Mujhe Hai Hukm-e-Azan,
La Ilaha Illallah ..
(Allama Mohammad Iqbal Rehmatullahi Ta'ala Alayhi)
LaIlaha Illallah,
Khudi Hai Taeg, Fasan
La Ilaha Illallah,
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Me Hai
Sanam Kudah Hai Jahan,
La Ilaha Illallah,
Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka Soda
Faraib Sood-o-Zayan,
LaIlaha Illallah,
Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya,
Ye Rishta-o-Pewand Buttan-e-Weham-o-Guman,
La Ilaha Illallah,
Khird Hui Hai Zaman-o-Makan Ki Zunnari
Na Hai Zaman NaMakan,
La Ilaha Illallah,
Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka
Nahin Paband Bahar Ho Ke Khazan,
LaIlaha Illallah,
Agarche Butt Hain Jamat Ki Astinon Me
Mujhe Hai Hukm-e-Azan,
La Ilaha Illallah ..
(Allama Mohammad Iqbal Rehmatullahi Ta'ala Alayhi)