Monday, March 31, 2014

April Fool Ki Haqiqat

April Fool ki Haqiqat <1> Mafhom e Hadees: Jhot se Bachtay Rehna, Beshak Jhot Burrai ki taraf lay jata hai aur Burrai Jahannum ki taraf lay jaegi, Beshak Insan Jhot Bolta Rehta hai aur iska Aadi ho Jata hai to ALLAH Rab ul Izzat k haan Bohat Jhota Likh Diya Jata hai. (Abbo Dawood,Hadees#4989 :Sahi, Kitab uL Addab, Baab: Jhot Bolnay ki Muzammat, Ravi: Hazrat Abdullah Bin Masood RaziAllahu Ta'ala Anhu) <2> April Fool Bohat se Kabira Gunahon ka Majmoa hai, Jhot ko Agar Gunah Samajh k Bola Jae to Jhot Bolna Gunah e Kabira hai (Muslim, Hadees #260, Kitab uL Eemaan, Baab: Biyan Nil Kabair wa Akbariha, Ravi: Hazrat Anas RaziAllahu Ta'ala Anhu) 1st April ko Jaiz Samajh k Jhot bola Jata hai, Agar Jhot ko Halal aur Jaiz Samajh kar Bola Jaye to Andesha e Kufar hai (Sharrah Fiqa e Akbar, Page #186, Published From Dehli) ♥> Jhot Bolnay ki Burrai aur Muzammat k Liye Yehi Kafi hai k Quran e Pak me ALLAH Ta'ala farmata hai: Jhot Bolnay Walon Par ALLAH ki Lanat. (Surah Aal-e- Imran, Ayat # 61, Para # 3) Sabit howa k Jo Log Jhot Bol kar "April Fool" Manatay hain Wo Quran me Maloon Thehraye Gaye hain, Jab April Fool Bahot se Kabira Gunahon ka Majmoa hai to Hamain is se Khud bhi Bachna Chahiye aur Apne Doston ko bhi Samjhana Chahiye. <4> Mafhom e Hadees: Kharabi hai us Shaks k Liye Jo is Maqsad k Liye Jhoti Baat kare k is k Zarriye Logon ko Hansaye, Kharabi hai us k Liye, Kharabi hai us k Liye (Tirmazi Shareef, Hadees #2405, Darja: Hassan, Kitab uz Zohad, Baab: Jo Shaks Logon ko Hansanay K Liye koi Baat Kare, Ravi: Hazrat Abu Horaira RaziAllahu Ta'ala Anhu) <5> Mafhom e Hadees: Bohat Bari Khayanat Yeh hai k Tum Apne Bhai se Aik Baat kaho aur Wo Tumhain is Baat me Sacha Samajh raha ho Halan k Tum Us se Jhot bol rahe ho. (Abu Dawood, Hadees # 4971, Kitab uL Addab, Baab: Maani Khaiz Baat Karna, Ravi: Hazrat Sufyan Bin Osaid Hazrmi RaziAllahu Ta'ala Anhu) <6>Mafhome Hadees: Jis ne Jis Qaum k sath Mushabehat ikhtiyar ki to Wo (Qayamat k din) unhi me se hoga (Abbo Dawood, Hadees # 4031, Kitab uL Libas, Baab: Shuhrat k liye Libas Pehinna, Ravi: Hazrat ibne Umar RaziAllahu Ta'ala Anhu) April Fool Mananay Wala Kafron ki Mushabehat Karta hai, Ayse Logon k liye Andesha hai k Qayamat k Din Kafron ki Saf me Uthaye Jaenge, ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala Apne Mehboob Rehmat ul Aalemeen Hazrat MOHAMMAD e Mustafa Ahmad e Mujtaba (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam) K Sadqay hamain Quran o Sunnat Pe Ammal karne wala Banaye.. (Aameen Summa Aameen)

Sunday, March 2, 2014

Insan Aur Us K Amaal

Al-Quran: Insan Ko Wohi Aajar Milega Jiski Wo Koshish Karta Hai, Anqareeb Uski Koshish Dekhi Jaegi Phir Usko Pura Pura Badla Melega. (Surah Al-Najam,ayaat39-41) > Ham Insan Kitne Bholay Hote Hain Jo Ye Soch Liye Bethe Hote Hain K Hamare Jate Hi Sab Kuch Ruk Jaega Ya Badal Jaega Magar Kuch Nahi Rukta Kuch Nahi Badlta Sab Kuch Waisa Hi Rehta Hai Bas Ham Nahi Hote Goya Hamara Hona Na Hona Sab Barabr Hai To Phir Is Na Hone K Barabr Hone Ka Itna Za'am Kiyun ! Itna Ghumand Kis Liye???

Share/Bookmark