Thursday, January 31, 2013

ISHQ KI INTEHA

" ISHQ KI INTEHA "
"Kisi ne Hazrat Moula Ali-Al-Murtaza Shair-e-KHUDA (RadiALLAH Ta'ala Anho) se Pocha:
Ajeeb Bat hai k Apka "KHUDA" NABI Ko Mehboob Farmata hai Magar "KALMAY" me Pehle Apna Naam rakhta hai Or Bad me NABI Ka Naam rakhta hai Ye ISHQ K Khilaaf nahi ?
Hazrat Ali (RadiALLAH Ta'ala Anho) ne Farmaya :
"Ye hi to Haqeqi ISHQ hai ALLAH Ta'ala Pasand karta hai k Us Ka Naam le kar Pehle zuban Pak ki Jae or Phir Pak Zuban se Us k MEHBOOB "MOHAMMAD" (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam) Ka Naam liya jai."
(Subhan ALLAH)

Monday, January 28, 2013

Dard Andr Da Andr Saaday Bahir Karaan Ghaa'eil Hoo

*Dard Andr Da Andr Saaday Bahir Karaan Ghaa'eil Hoo..,
Haal Asada Oh Ki Jan'an Jo Dunia Te Maa'eil Hoo..,
Baher Sumander Ishqay Wala Her Dam Rehnda Haa'eil Hoo..,
Pohanch "Huzoor"(MOHAMM AD Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Asa'an Na Bahu Asa'an NAAM Tere De Maa'eil Hoo...!
*Subhan ALLAH*
(Hazrat Sultaan Bahu Rehmatullah Alayhi)

Sunday, January 27, 2013

Al-Quran: Apne Rab Ki 'Naimat' Ka Khoob 'Charchaa' Karo

Al-Quran: 
Apne Rab Ki 'Naimat' Ka Khoob 'Charchaa' Karo. 
(Surah Duhaa Ayat #11)
 Imam Bukhari Farmate Hain ALLAH Ta'ala K Mehboob Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) "ALLAH" Ki 'Naimat' Hain. 
[Bukhari 566/2] 
Arbi Samajhny Wale Jante Hain k Ayat Me Lafz 'Fahaddis' Baab e Taf'eel Se Hai Jis Me 'Takraar' (repeatition) Or 'Ziada' k Ma'naa Bante Hain Yani 'Charchaa Bar Bar Karo.Milaad Manana Quran e Pak Ka Hukm Hai.!

Thursday, January 24, 2013

HADEES E NOOR

*HADEES-E-NOOR* 
Al-Quran:
Be-Shakk ALLAH Ki Tarf Se Tumhare Pas Aik Noor Aa Chuka Aur Aik Roshn Kitaab.
(Surah Al-Maiedah 5-15)
Hazrat Jabir (RadiALLAH Ta'ala Anho) Se Riwayat Hai K Maine "ALLAH Rab-ul-Aalemeen" K Mehboob Hazrat "MOHAMMAD"(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Se Sawal Kiya K Sab Se "Pehli" Cheez ALLAH Ta'ala Ne Kon Si Paida Farmai? 
To ALLAH Rab-ul-Izzat K Habeeb Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Jawab Diya: 
"Ay Jabir ! Wo Tere "NABI Ka NOOR" Hai Jise ALLAH PAK NE (Sab Se Pehle) Paida Farmaya". 
(Hadees e Noor page#63,Zarqani Ali-Al-Muwahib..Markaat-ul-Mafateeh) 

2nd Hadees-e-Noor: 
Hazrat Ibne Abbas (RadiALLAH Ta'ala Anho) Se Riwayat Hai K "ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala" K Rasool Hazrat "MOHAMMAD"(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ka "Saaya" Na Tha Jab AAP Dhoop Me Kharay Hote To AAP Ka "NOOR" Suraj Ki Roshni Per "Ghalib" Aa Jata Aur Jab Kabhi Chiraagh Ki Roshni Me Kharay Hote To AAP Ka "NOOR" Chiraagh Ki Roshni Per "Ghalib" Aa Jata. 
(Al-Musnif,page#56) 
Imaam Abdul Razaaq Farmate Hain K Mujhe Hazrat Ma'amar Se Ibne Mankadar Aur Inhen Hazrat Jabir(RadiALLAH Ta'ala Anhuma) Ne Beyan Kiya K Maine "ALLAH Ta'ala" K Rasool Hazarat "MOHAMMAD"(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Se Sawal Kiya K "ALLAH Rab-ul-Aalemeen Ne Sab Se Pehle Kia Paida Farmaya? 
"To ALLAH Rab-ul-Izzat K Habeeb Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Farmaya: 
Ay Jabir ! Wo Tere "NABI" Ka "NOOR" Hai ALLAH PAK Ne Isay Paida Farma Kar Is Me Se Her "KHAIR" Paida Farmai Aur Is K Baad Her Cheez Paida Farmai, 
Jab "ALLAH PAK" Ne "Mere Noor" Ko Paida Farmaya To Isay "12 Hazaar Saal" Tak "Mukaam-e-Qurb" Per "Faeyz" Rakha Phir Is K "4 Hissay" Kiye-Aik Hissa Se "Arsh-o-Kursi" Aur Aik Hissa Se "Haamleen-e-Arsh Aur Khazneen-e-Kursi" Paida Farmaye, 
Phir Chothay Hissay Ko Muqaam-e-Muhabbat Per 12 Hazaar Saal Rakha Phir Isay 4 Me Taqseem Kiya Aur Loh-o-Qalam Aur Jannat Banayi, 
Phir Chothay Ko Muqaam-e-Khof Per 12 Hazaar Saal Rakha Phir Is K 4 Ajzaa Kiye Aur Aik Juzz Se Malaa'ika(Farishte) Aur Shams-o-Qamar Aur Sitaray Banaye, 
Phir Chothay Juzz Ko Muqaam-e-Rija'a Per 12 Hazaar Saal Tak Rakha Phir Is K 4 Ajzaa Banaye Aur Aik Se Aqal Dosre Se Ilm Teesray Se Hikmat Aur Asmatt-o-Tofeeq Banayi, 
Phir Chothay Ko Muqaam-e- Haya Per 12 Hazaar Saal Tak Rakha Phir "ALLAH Ta'ala" Ne Is Per Nazr-e-Karam Farmayi To Is "Noor" Ko Paseena Aya Jis Se "Noor" K "Qattray" Jharay To "ALLAH Rab-ul-Aalemeen" Ne Her "Qattra" Se "NABI" Ki "Rooh" Ya "RASOOL" Ki "Rooh" "Paida" Farmayi Phir "Arwaah-e-Ambiya" Ne "Saans" Liya To "ALLAH Ta'ala" Ne Anfaas Se "Ta-Qayamat" "Auoliya" "Shuhda'a" Aur "Farmabardaron" Ko Paida Farmaya, 
To "Arsh-o-Kursi" "MERE NOOR" Se,"Gird-o-Bain" "MERE NOOR" Se,"Arwaah-e-Ambiya" "MERE NOOR" Se,"Mala'aika" "MERE NOOR" Se,"Jannat Aur Iski Tamaam Naimtain "MERE NOOR" Se,"Mal'aika Sab'aa Samawaat" "MERE NOOR" Se,"Shams-o-Qamar Aur Sittaray" "MERE NOOR" Se,"Aqal-o-Tofeeq" "MERE NOOR" Se,"Arwaah-e-Rasool-o-Ambiya" "MERE NOOR" Se,"Shuhda'a-o-Saleheen"  
*MERE NOOR K FAIZ SE HAIN* 
Phir "ALLAH Ta'ala" Ne "12 Hazaar Parday Paida Farmaye"To "ALLAH Ta'ala" Ne 
"Mere NOOR" K "Juzz Raabeh" Ko Her Pardaa Me "1000" Saal Rakha Aur Ye "Mukaam-e-Abudiyatt" "Saqeena" "Sabar" "Siddq-o-Yaqeen" Thay,To "ALLAH Ta'ala" Ne Is "Noor" Ko "1000" Saal Tak Is Pardaa Me "Ghutta-Zann" Rakha, 
Jab Isay Is Pardaa Nikaala Aur Isay "Zameen" Ki Tarf "Bheja" To Is Se "Mashrik-o-Maghrib" Youn "Roshan" Huay Jaise Tareek Raat Me "Chiraagh" 
Phir "ALLAH Ta'ala" Ne Hazrat "Aadam" (Alayhissalam) Ko Zameen Se Paida Farmaya To Inki "Paishaani" Me "NOOR" Rakha Phir Isay "Hazrat Sheesh" Ki Tarf "Muntaqil" Kiya Phir Wo "Tahir Se Tahir" Ki Tarf "Muntaqil" Hota Hua "Abdullah Bin Abdulmutlib" (RadiALLAH Ta'ala Anho) Ki "Pushtt Mubarak" Me Aur Hazrat "Aamna" Bint-e-Wahab (RadiALLAH Ta'ala Anha) K "Shikam-e-Mubarak" Me Aaya, 
Phir "ALLAH Rab-ul-Izzat" Ne "Mujhe" Dunia Me Paida Farma Kar "Rasoolon Ka Sardaar" "Imaam-ul-Ambiya" "AAKHIRI NABI REHMAT-UL-AALEMEEN AUR TAMAM ROSHAN AZA'A WALON KA RAH-NUMA BANAYA" To Ay Jabir (RadiALLAH Ta'ala Anho) ! 
=*YOUN TERE NABI KI TAKHLEEQ SE IBTEDA'A HUI*= 
(Musnif Abdul Razaaq,1,h18, Salaat-ul-Saffa Noor-al-Mustafa, Sab se pehla Kunnpage12, Risala Yakroozi page11, Hadyat-ul-Mahdi page56, nashar al-tayyab page5)  

*Tu Hai Saaya NOOR Ka Her Azoo Tukra NOOR Ka, 
Saaya Ka Saaya Na Hota Hai Na Saaya NOOR Ka, 

Teri Hi Janib Hai Paanchon Waqt Sajda NOOR Ka, 
Rokh Hai Qibla NOOR Ka Abru Hai Kaaba NOOR Ka. 
*Subhan ALLAH*

Tuesday, January 22, 2013

ALLAH Rab ul Izzat aur Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ki Mushtarka Sifaat

="ALLAH Rab ul Izzat aur Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) ki Mushtarka Sifaat"= 
( ALLAH Ta'ala aur ALLAH Ta'ala k Rasool Hazrat MOHAMMAD Sallallahu Ta'ala Alyhi Wa'Aalehi Wasallam *Sach* Farmate Hain).
"ALLAH PAK aur ALLAH  k Rasool Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) sirF sach Farmate hain (Be-shak)"
(1)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Muallam" hain, 
{Surah Al-Rehman ayat#2, Surah Al-Baqara ayat#129}.

(2)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Paak" hain,
{Surah Noor ayat#21 , Surah Al-Baqara ayat#129}. 

(3)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Noor" hain,
{Surah Al-Noor ayat#35, Surah Al-Maaieda ayat#15}. 

(4)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono ko "Razi" karna Lazim hai,
{Surah Al-Tauba ayat#62}.

(5)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Kareem" hain,
{Surah Al-Anfattar ayat#2, Surah Al-Takveer ayat#19}.

(6)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Rauoof" hain,
{Surah Al-Noor ayat#20, Surah Al-Tauba ayat#128}.

(7)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Raheem" hain,
{Surah Al-Noor ayat#20, Surah Al-Tauba ayat#128}.

(8)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Haadi" hain,
{Surah Al-Shurrah ayat#52, Surah Al-Baqara ayat#212}. 

(9)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Walli" hain, 
{Surah Al-Baqara ayat#257, Surah Al-Baqara ayat#212}.


(10)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono ki "Izzat" Lazim hai, 
{Surah Al-Nissa ayat#139, Surah Al-Munafiqoon ayat#8}. 

(11)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Andheron" se "Nikalte" hain, 
{Surah Al-Ahzaab ayat#43, Surah Al-Ibraheem ayat#8}. 

(12)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Inaam" ki Barish karte hain,
{Surah Al-Ahzaab ayat#37, Surah Al-Ahzaab ayat#37}. 

(13)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono ki "Atta'at" Lazim hai, 
{Surah Al-Imran aya#132, Surah Al-Nissa ayat#80}. 

(14)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Halaal" karne ka Ikhteyar rakhte hain,
{Surah Al-Baqara ayat#275, Surah Al-Ahraaf ayat#157}. 

(15)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Haraam" karne ka Ikhteyar rakhte hain, 
{Surah Al-Tauba ayat#29, Surah Al-Ahraaf ayat#157}.(16)= ALLAH TA'ALA aurMOHAMMADRasool ALLAH dono "Ammar Maroof" k Maalik hain,{Surah Al-Nahl ayat#90,Surah Al-Ahraaf ayat#157}

(17)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMADR asool ALLAH dono "Nahee Anal-Munkir" k Maalik hain, 
{Surah Al-Nahl ayat#90,Surah Al-Tuba ayat#74}. 

 (18)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Ghanni" hain aur "Fazal" karte hain, 
{Surah Al-Tuba ayat#74}. 

(19)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Atta" karte hain, 
{Surah Al-Tuba ayat#59}. 

(20)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Hakeem"
{Surah Al-Baqara ayat#220, Surah Al-Jumma ayat#2}. 

(21)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Wa'aiz" hain, 
{Surah Al-Nahl ayat#90, Surah Al-Sabaa ayat#46}. 

(22)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH dono "Aa'maal" dekhte hain, 
{Surah Al-Tuba ayat#94}. 

(23)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH "Haakim" hain, 
{Surah Al-Nissa ayat#65}. 

(24)= ALLAH TA'ALA aur MOHAMMAD Rasool ALLAH "Faisla" karte hain, 
{Surah Al-Ahzaab ayat#36}. 
(Note)=!NABI E REHMAT-UL-AALEMEEN Se Bughz-o-Keena Rakhne Wale Munafiqeen Sahiban Kia Ye Shirk ho raha hai  ! 
"ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Apni Sifaat Apne Habeeb Hazrat MOHAMMAD E MUSTAFA AHMAD E MUJTABA *Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam* aur Hamare Payare AAQA *Alayhi Salaatu Wassalam* Ko Atta Kar K Apni RABOOBIYAT ka Mazhar Bana Raha Hai Tum Munafiqeen Log Apne Aqeeday Ko Darust Karo Aur Is K Liye Quran e Majeed Parha Karo Jo ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala K Mehboob Noor e Mujasam Imaam ul Ambiya Rehmat ul Aalemeen Khulq e Awwal Nabi e Aakhir Hazrat MOHAMMAD *Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam* Ki Shaan e Aqdas Se Bhara Hua Hai, 
[ALLAH Rab Ul Izzat Khaliq e Qull Hai-Aur MOHAMMAD Rasool ALLAH Maalik e Qull Hain, 
ALLAH Ta'ala Ki "Alwahiyat" Me Kisi Ghair-ALLAH Yani Jhoothe ALLAH Ko Shareek Karna Shirk Hai Jhoothe Se Muraad "Butt" Hain, 
ALLAH Jalla Shanahu Ne Apni Safaat Hamare AAQA Aur Apne Mehboob Hazrat MOHAMMAD Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam Ko Atta Ki Hain Aur Jo Cheez Atta Kar Di Jae Phir Is Se Shirk Nahi Hota Wahid Cheez Jo ALLAH Paak Ne Kisi Ko Atta Nahi Farmai Wo Hai "Alwahiyat" Aur Isi Ko "Tuheed" Kehte Hain].!!! 
*Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Ghulami "Deen e Haq" Ki Shart e Awal Hai, 
Ho Agr Is Me Kuch Khaami To Sab Kuch "Na-Mukamal" Hai* 
*Subhan ALLAH*

Monday, January 21, 2013

Kaalay Kundal Zulf "Sajjan" De Taab Chalhay Hun Kairrha

*Kaalay
Kundal Zulf "Sajjan" De Taab
Chalhay Hun Kairrha,

Akh Andr
Akh Pa "MOHAMMAD" (Sallallahu
Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam)
Lut Kharya Dil Mera.

Sab Se Pehle Mashi'att K Anwaar Se

*Sab Se Pehle Mashi'att K Anwaar Se,

Naqsh-e-Roo-e-MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Banaya Gaya,

Phir Isi Naqsh Se Maang Kar Roshni,

Bazm-e-Kon-o-Maka'an Ko Sajaya Gaya.
*Subhan ALLAH*

Saturday, January 19, 2013

Ya Rasool ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Main Wo Shaeir Nahi Jo Chaand Keh Doon AAP K "Chehray" Ko

*Ya Rasool ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Main Wo Shaeir Nahi Jo Chaand Keh Doon AAP K "Chehray" Ko,

Main AAP K Naqsh-e-Pa Per Chaand Qurban Karta Hoon.
*Subhan ALLAH*

Friday, January 18, 2013

Al-Quran: Be-Shakk ALLAH Ki Tarf Se

Al-Quran:
Be-Shakk ALLAH Ki Tarf Se Tumhare Pas Aik Noor Aa Chuka Aur Aik Roshn Kitaab.
(Surah Al-Maiedah 5-15)

Thursday, January 17, 2013

ALLAH Ta'ala K Habeeb Rooh e Kainaat Wajh e Takhleek e Kainaat Saiyyad ul Bashr Noor e Mujassam Rehmat ul Aalemeen Imaam ul Ambiya Khatm ul Mursaleen Hazrat MOHAMMAD e Mustafa Ahmad e Mujtaba(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam) Ka "Paseena" Atter Se Bhi Barh K Hai

ALLAH Ta'ala K Habeeb Rooh e Kainaat Wajh e Takhleek e Kainaat Saiyyad ul Bashr Noor e Mujassam Rehmat ul Aalemeen Imaam ul Ambiya Khatm ul Mursaleen Hazrat MOHAMMAD e Mustafa Ahmad e Mujtaba(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam) Ka "Paseena" Atter Se Bhi Barh K Hai,=Hadees1=Saiyyadna Abu Huraira (RadiALLAH Ta'ala Anho) Farmate Hain K Aik Shakhs Huzoor Sarwar e Konain Hazrat MOHAMMAD(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Ba'ar-gah e Aqdas Me Hazir Hua Aur Arz Ki Ya Rasool ALLAH(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) !Meri Beti Ki Shadi HaiLekin Mere Pas Isay Lagane K Liye Khushboo Nahi Hai AAP K Darr Se To Kabhi Bhi Koi Khali Nahi Jata Main Apni Beti K Nikah Ki Rasm K Liye Khusboo Kharidna Chahta Hoon Meri Kuch Imdaad Ho Jae? 
Sohne Kaali Kamli Wale Rehmat ul Aalemeen AAQA(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ne Tabbasum Farmaya Aur Farmaya Jao Koi Khule Moo Wali Shishee Aur Lakri Le Aao... Wo Shakhs Jaldi Jaldi Gaya Aur Le Aya, Garmi Ka Mosam Tha Aur AAP (Alayhissalam) K Jism e Mubarak Se "Paseen" Beh Raha Tha,AAQA (Alayhissalam) Ne Wo Lakri Le Kar Apni "Kallayee" Se "Paseenay" K Qatray Jama Kiye Aur Shishee Me Daal Diye Aur Farmaya: "Jao Ye Khushboo Le Jao.. Tum Bhi Lagao.. Beti Ko Bhi Lagao.. Saray Ghar Wale Lagao Tumhari Aainda Naslo'n Se Bhi Khushboain Aya Karen Gi,Us Shakhs Ne Wo Khushboo Le Ja Kar Khud Bhi Lagai.. Apni Beti Ko Bhi Lagai.. Aur Saray Ghar Wale Jumma K Din Ahtemaam Se Lagate.. Ab Wo Jidhr Bhi Jate Galiyon Bazaron Me Khushbo K Hullay Aane Lagte Her Tarf Khushboain Phail Jati, 
Inki Naslon Me Bhi Ye Khushboo Muntakil Hoti Rahi Phir Madinay Walon Ne Inka Naam Hi Rakh Diya "Khushboo Walo Ka Ghar".(Mowahib Aldunia, Masnad Abu Ya'ala 11/185)*Subhan ALLAH*=Hadees2nd=Hazrat Ans RadiALLAH Ta'ala Anho Farmate Hain "Mujhe Qasam Hai Tajdaar e Madina Ki Zulfon Ki" Mera Imaan Hai K Mehboob e KHUDA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) K Jism e Aqdas Ki Khushboo Per Kastoori-o-Ambbur Bhi Qurban Hain.(Sahih Bukhari Kitaab Almunakab Hadees#3328)*Ambbur Zameen, Abeer Hua, Mushk Tar Ghuba'ar,,Adna'a Si Ye Shanakht AAQA(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Teri Rah-Guzr Ki Hai**Subhan ALLAH*

Wednesday, January 16, 2013

ALLAH RAB-UL-IZZAT K Mehboob Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Wiladat Ba-Sa'adat 12 Rabi-ul-Awal Ko Hui

ALLAH RAB-UL-IZZAT K Mehboob Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Wiladat Ba-Sa'adat 12 Rabi-ul-Awal Ko Hui.
=Hawala Jaat=
Seert Nabua 1/199,
Al-badaya Walnahaya 4/228,
Fatawa Razwiya 26/411,
Fatah Al-Baree 8/474,
Marqaat 11/238,
Jawaher Al-Bahaar 1/282,
Madarj Al-Nabuatt 2/14,,,

=Deoband>
Irshaad Al-Ebaad Fee Eid Milaad page#5,
Seert-e-Khatm ul Ambiya page#10,
Tareekh Makkah Mukkarma 211,,,

=Wahabi>
Shamamat Al-Ambiya page#8,
Saiyyed Al-Konain page#60,,,

=Shiya>
Asool-e-Kafi 1/439.

Tuesday, January 15, 2013

Suna Tha Doobnay Se Jaan Chali Jati hai

Suna Tha Doobnay Se Jaan Chali Jati hai,

Ishq-E-MOHAMMAD-E-MUSTAFA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Me jab Doobay To Jaan Me Jaan Aa gayi.

Monday, January 14, 2013

Ya MOHAMMAD Rasool ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) AAP Sab Se Aala Hain

Ya MOHAMMAD Rasool ALLAH
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) AAP Sab Se Aala Hain Pora Quran AAP Ka Hawala Hai,

Jis K Dil Me AAP Ki Muhabbat Hai Us K 4on Tarf Ujala Hai.
*Subhan ALLAH*

Saturday, January 12, 2013

ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Quran-e-Pak me irshad farmata hai

ALLAH Tabarak Wa'Ta'ala Quran-e-Pak
me
irshad farmata hai
Ay Habeeb-e-Mukarram Maine Aap
Ki Khatir Aap Ka Zikr Buland Kar
Diya.
(Surah Nissa,Ruku9)
Tafsser-e-Ilahi Jo Jibrai Ameen (Alayhissalam)
Ne bayan kiya:
ALLAH Pak farmata hai k Ay
Mahboob Maine Aap ka zikr
istarah
buland kar diya hai k Jab koi
Mera
zikr kare to Sath Mahboob Aap
ka bhi zikr kare.
Yani Jaha Jaha ALLAH Rab-Ul-Aalemeen Ka Koi Zikr
Kare ga To sath MOHAMMAD Rasool ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alayhio Wa'Aalehi Wasallam) Ka
Bhi Zikr Kare ga.
*Subhan ALLAH*

(Be-Misl Bashr Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam)

*(Be-Misl Bashr Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam)
*Bashriyat Ka Mojaza= AAP Ka Saya Na Tha.

*Noraniyat Ka Mojaza= AAP Khatay Pitay Hain Aur Chaltay Phirtay Hain.

*Bashriyat Ka Mojaza= Abu Lahb Ki Biwi Umme Jameel Ko Hazrat Saddique e Akbar (RadiAllah Ta'ala Anho) K Paas Bethe Hue Nazar Na Aaye(Surah Bani Israeil,ayat#25).

*Noraniyat Ka Mojaza= Jang e Ohd Me Zakhm Laga To AAP Ka Khoon Baha.

*Bashriyat Ka Mojaza= AAP Ne Apne Jism e Aqdas K Sath Shab e Miraj La-Maka'an Tak Safar Kiya (AAQA Alayhissalam Teri Miraaj Ko Kia Samjhe Ga Koi Falsafi, AAP To Had-e-La-Maka'an Se Bhi Aagay Guzar Gae).

*Noraniyat Ka Mojaza= AAP K Jism e Atther Ki Araam-Gah Arsh e Muallah Se Bhi Afzal Hai.....
Jab Tak ALLAH RAB UL IZZAT Ki KHUDAI Rahe Gi, Tab Tak MOHAMMAD MUSTAFA (Sllallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Duhayi Rahe Gi.
ALLAH Subhanahu Wa'Ta'ala K Habeeb Imam ul Ambiya Qasim e Kosar Noor e Mujassam Nabi e Aakhir Rehmat ul Aalemeen Hazart MOHAMMAD E MUSTAFA
(Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ki Nooraniyat Bhi Be-Misaal Hai Aur Bashriyat Bhi Be-Misaal.
*Subhan ALLAH*

Thursday, January 10, 2013

Whenever U feel that nobody wants to listen U

Whenever U feel that nobody
wants to listen U, then give a try
and start talking to "ALLAH" and
you'll find "HIM" attentive all the
time.

Monday, January 7, 2013

Gul-e-Maani khila Jab Rehmat Ul Aalemeen Aaye

Gul-e-Maani khila Jab Rehmat Ul Aalemeen Aaye,
Mashiyatt Thi K Aakhir Me Bahaar-e-Awleen Aaye,
Rasoolon K Mubashar Ban K Khatm Ul Mursaleen Aaye,
Bisaat-e-Faqr Le Kar Maalik-e-Dunia-o-Deen Aaye.
{ASSALATU WASSALAMO ALAYKA YA SAIYYADI RASOOL-ALLAH,
WA'ALA AALEKA WA'ASHABIKA YA SAIYYADI MOHAMMADURASOOL-ALLAH}

Sunday, January 6, 2013

Ya Rasool ALLAh (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Main AAP K Ayhd Me Hota To Ye Surat Hoti

Ya Rasool ALLAh (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Main AAP K Ayhd Me Hota To Ye Surat Hoti, 
Dekhte Rehna AAP Ko Meri Ibaadat Hoti, 

Apni Palkon Se AAP K Naqsh-e-QADAM Choomta Rehta, 
AAP Ki Raahon Me Basr Zeest Ki Mudat Hoti, 

Jis Gharri Uthti AAP Ki Nazr-e-Karam Meri Tarf, 
Hasil-e-Zeest Meri Bas Ik Wohi Sa'att Hoti, 

Maqtadi Ban K AAP Ka Main Bhi Namazain Parhta, 
Mujh Ko Hasil AAP Ki Taqleed Ki Azmat Hoti, 

Main Bhi Shamil AAP K Lashkar Me Yaqinan Hota, 
AAP K Ghustakh-o-Dushmon Se Bohat Meri Adawat Hoti, 

Main AAP K Ishq Me Zakhmon Se Sajata Ye Badan, 
Mere Chehray Py Na Youn Aaj Nidamat Hoti, 

Aarzoo Rakhta K Jan AAP Py Nichawar Kar Doon, 
Phir Mujhe Mott Bhi Aati To Shahadat Hoti,
  
Apna Seena AAP K Anwaar Se Roshan Karta, 
Zindagi Meri Bhi Khurseed Ki Surat Hoti, 
  
Meri Her Saans Me Khushboo AAP Ki Hoti AAQA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam), 
Mere Her Lamhay Py Bas AAP Ki Hakumat Hoti, 

Ya Rasool ALLAH (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Main AAP K Samnay Parhta Jo AAP Ki NAAT Kabhi, 
Mehrba'an Mujh Py Khaas "ALLAH" Ki Rehmat Hoti, 

Zeest Se Mott Talak Mott Se Phir Zeest Talak, 
Meri Aankhon Me Faqat AAP Ki Hi Surat Hoti, 

Wajd Me Jhoomte Sab Aalam "ALLAH RAB UL IZZAT" Ki Sana Main Parhta,
 Baad Sana-e-RAB-UL-AALEMEEN Durood-o-Salaam AAP Aur AAP Ki AAL Py Parhta, 

 
AAP K Ashaab Ka Ik Adna'a Sa Ghulaam Hota, 
Youn Jo Hota To Darkhsa'an Meri Qismat Hoti, 

Main Abu Bakkar-o-Umar Se Bhi Aqeedat Rakhta, 
Mujh Ko Usman-o-Ali (Ridwanullah Ta'ala Ajma'ein) Se Bhi Muhabbat Hoti, 

Ik AAP K Darr Ki Gidayee Jo Mujhe Mil Jati, 
Aur Bhala Dil Me Kon Si Hasrat Hoti, 

Ya "MOHAMMADURasool-ALLAH" (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wa'Barik Wasallam) KaAash Main AAP K Ayhd Me Hota To Karam Hota AAP Ka, 
Is Gunehgar Py AAQA (Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Aalehi Wasallam) Ye AAP Ki Anayat Hoti...

Wednesday, January 2, 2013

Ganj Bakhsh-e faiz-e Aalam

*Ganj Bakhsh-e faiz-e Aalam, mazhar-e noor-e-KHUDA,
Naqisaan ra peer-e kaamil, kaamilaan ra rahnuma..
Ap sbko Data Huzoor Ali Hajveri(Rehmatullah Alayhi) ka Urs Mubarak

Share/Bookmark